Monday, April 21, 2025
HomeIndiaJustice Mohammad Rafeeq ne Meghalaya ke naye chief justice ki haesiyat se...

Justice Mohammad Rafeeq ne Meghalaya ke naye chief justice ki haesiyat se halaf liya

Shillong : Justice Mohammad Rafeeq ne chaharshambe ke roz Meghalaya high court ke naye chief justice ki haesiyat se halaf liya.

Governor Tathagata Roy  ne Raj Bhavan mein Mohammad Rafeeq ko apne ohday wo raazdari ka halaf dilaya. Chief justice ki hesiyat se taqarruri se qabal Mohammad Rafeeq Rajasthan High Court ke senior judge they. unhon ne Ajay kumar mittal ki jagah li hai, jo ab Madhya pradesh high court ke chief justice hain.

Is halaf bardari taqreeb mein wazeer-e-aala Conrad Sangma aur unke wazraa ki council, Meghalaya high court ke judge justice Hamarsan Singh Thangkhiew, chief secretary PSO deegar kayi sarkari ohdedaron ne shirkat ki. Rajasthan ke Churu mein paeda hue Rafeeq ne apni qanoon ki practice 1984 mein shuru ki. unhon ne Rajsthan high court mein qanoon ki taqreeban tamam shaakhon mein khusoosi tor par practice ki. unhon ne 1999 se 2006 tak ek wakeel ki haesiyat se khidmaat anjaam den.

Inhen hindustani aeen, khidmat, zameen ke husool, tax aur company qanoon ke mamlaat ke maahir ke tor par pehchana jata hai. 2008 mein inhen Rajsthan high court mein justice muqarrar kiya gaya tha. Mohammad Rafeeq ne 2 baar rajasthan high court ke qaim maqam chief justice ki haesiyat se bhi apni khidmaat anjaam den. –YTN STAFF