New Delhi: Justice Sharad Arvind Bobde aglay chief justice of India ( CJI ) honge, mangal ko sadar Ram nath Kovind ne un ke naam par mohar Sabt kardi hai. woh mulk ke 47th chief justice honge. justice bobde 18 November ko Supreme court ke chief justice ki haesiyat se halaf lenge aur woh taqreeban 18 mah tak is ohday par Faiz rahenge. woh 23 April 2021 ko retire hojayenge.
Moujooda chief justice Ranjan Gogoi ne 18 october ko dosray senior tareen judge justice bobde ko apna janasheen bananay ki sifarish ki thi. Justice bobde Ayodhya araazi tanaza case mein 5 Judges ke aaeen bench ka hissa they, jis mein abhi faislay ka intezaar hai, woh un house panel ka hissa they.
Saal 2018 mein, unhon ne karnatak siyasi tanaza par congress aur JDS ki darkhwast ratoun raat suni, jiske baad dobarah hukoomat tashkeel di gayi. justice bobde ne Nagpur university se LLB ki degree haasil karne ke baad 1978 mein Maharashtra ki baar council mein dakhla liya. unhon ne Bombay high court ke nagpur bench mein 21 saal tak practice ki aur Supreme court mein bhi pesh hoye.
Inhen 1998 mein senior advocate naamzad kiya gaya tha aur baad mein March 2000 mein Bombay high court ke additional judge ke tor par unki taraqqi hui thi. aur April 2013 mein inhen Supreme court ke judge ki hesiyat se taraqqi di gayi thi. aur fil haal woh mulk ke dosray senior tareen judge hain aur Mumbai aur nagpur dono campus mein Maharashtra national law University ke chancellor ki hesiyat se bhi khidmaat anjaam day rahay hain. –YTN STAFF