Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaJustice Bobde Supreme court ke 47th chief justice bangaye

Justice Bobde Supreme court ke 47th chief justice bangaye

New Delhi:  Supreme court ke sab se senior justice Sharad Arvind Bobde Aaj Hindustan ke 47th chief justice ke ohday ka halaf liya. Sadar Ramnath Kovind Rashtrapati bhavan ke tareekhi Darbaar hall mein halaf ki taqreeb mein justice bobde ko ohday aur raazdari ka halaf dilaya. 63 sala justice Bobde subukdosh judge chief justice Ranjan Gogoi ki jagah lenge jo aaj apne ohday se subukdosh hochukay hain.

Justice Bobde 17 mahinay tak Supreme court ke chief justice ke ohda par Faiz rahenge aur 23 April 2021 ko subukdosh honge.

Bobde ka taaluq Maharashtra ke wakeel khandan se hai. unke waalid arvind srinivas Bobde bhi mashhoor wakeel they 24 April 1956 ko Maharashtra ke Nagpur mein paeda honay walay Justice Bobde ney Nagpur university se Art aur qanoon mein graduation hasil kiya hai. Saal 1978 mein Maharashtra baar council mein unhon ney bator-e-wakeel apna registered karaya. Bombay high court ki Nagpur bench mein 21 saal tak apni khidmaat anjaam dene walay justice Bobde saal 1998 mein senior wakeel ban gaye wo 29 March 2000 mein bombay high court ke additional justice muqarar kiye gaye. woh 16 october 2012 ko Madhya pradesh high court ke chief justice banaye gaye, taqreeban 6 mah ke andar hi inhen 12 April 2013 ko Supreme court ke justice ke tour par ohda sambhala.

Justice Bobde ney kayi tareekhi faislon mein ahem kirdaar ada kiya hai. haal hi mein Ayodhya ke mutanazia maqam par ram mandir bananay ka rasta hamwar karne wali aaeni bench ke bhi woh rukan rahay hain. woh raazdari ke bunyadi huqooq ke silsilay mein august 2017 mein faislay denay wali 9 rukni aaeni bench ke rukan bhi rahay hain. is bench ki sadarat is waqt ke chief justice JS kheir ney ki thi. –YTN STAFF