Saturday, July 5, 2025
HomeJurmJunoobi Korea ki sabiq Sadar ko majmoi taur par 32 saal jail...

Junoobi Korea ki sabiq Sadar ko majmoi taur par 32 saal jail ki saza

Seol: janoobi Korea ki aik adalat nay sabiq Sadar Park Geun-hye  ku Mamlikati A gency se ghair qanooni tor par funds haasil karne aur intikhabi qawaneen ki khilaaf warzi karne par mazeed 8 baras ki saza sunai hai. Park jo Mulk ki awsleen khatoon Sadar reh chuki hain pehlay hi se bsdunwanyon, rishwat khori, ikhtiyarat ka najaaiz istemaal aur Mumlikat ke raaz afsha karne ke ilzamaat mein 24 barson ki saza kaat rahi hain. Un ilzamaat par 2016 mein un ka muwakhza kya gaya. Nai saza ka mutawatar itlaq hoga jis kamtlb yeh sun-hwa ke 66 sala Park ko majmoi tor par 32 baras ki jail ki saza bhughtna parre ga. Park ko ghair zaroori funds jama karne par 6 saal aur intikhabaat ke nataij par asr andaaz honay ke jurm mein mazeed 2 saal qaid ki saza sunai gayi hai. adalat nay fariqain ke dalail suneney ke baad dono muqadmaat mein majmoi tor par 8 saal qaid ki saza sunai. Samaat ke douran janoobi Korea ki sabiq Sadar faisla suneney ke liye mojood nahi theen taham adalat nay un ki ghair mojoodgi mein hi faisla suna diya. wazeh rahay ke Junoobi Korea ki sabiq Sadar Park Geun-hye ko corruption ke alzmat par awaami dabao ke paish e nazar 2017 mein mansab se hata diya gaya tha jis ke baad aan par qaim muqadmaat ki samaat huien. corruption ilzamaat aur hakoomati raaz Afsha karne par Park ko 24 pehlay baras ki saza sunai gayi thi aur aaj do mukhtalif muqadmaat mein mazeed 8 saal qaid ki saza sunai gayi hai.