Sunday, May 5, 2024
HomeSliderJunior Colleges mein Shift System mein kaam honay ka imkaana

Junior Colleges mein Shift System mein kaam honay ka imkaana

Hyderabad: Telangana ki reyasti hukoomat jald hi Junior College kholnay ke liye maidan tayyar kar rahi hai. Is ne Junior colleges ko Shift ki bunyaad par chalanay ke liye Board of Intermediate Education ki tajaweez ko manzoori day di hai.

Board Of Intermediate Education Secretary ke mutabiq ek baar jab reyasti hukoomat ne tajaweez ko manzoori day di hai to dosray saal ke Talba ke liye classes subah 8 bajey se dopehar sadhay 12 bajey tak chalaye jayen gi, Jabkay pehlay saal ki classes 1 bajey se shaam 5.30 bajey tak jari rahen gi. Unhoun ne kaha ke Board of Intermediate Education ne MPC aur BiPC ke talba ko Inter nisaab se mazameen se woh sabaq hata diye hain jo Central Board of Secondary Education ( CBSE ) ne pehlay hi khatam kardiye thay. Lehaza, JEE aur NEET ke imtehanaat mein shirkat ke douran talba ko koi pareshani nahi hogi.

Yaad rahay ke riyasat Telangana mein corona bohraan aur wabai marz ki rokkk thaam ke liye hukoomat ki janib se har is iqdaam ko manzoori di jarahi hai jo kay ek janib virus ke phelao ku rokne aur doosri janib muashi bohraan ko khatam karne mein aamdani ke zaraye ko yakeeni banaye.

Schools aur Colleges mein tedrisi aur ghair tedrisi amlah ki mojoodgi ko yakeeni bananay ke liye hukoomat ki janib 50% amlah ko duty anjaam dainay ki sahoolat di hai is terhan rawan hafta Telangana mein taleemi marakaz mein 50% amlah ke sath taleemi sargarmia ka aaghaz hochuka hai jabkay talba ke liye online Class ke liye Smart Phones, Doordarshan aur deegar zaraye ka istemaal bhi kiya ja raha hai.

Schools aur Junior Colleges ke Shift ki bunyaad par nisaab mein kami karne ke liye ilawa guzashta chand mah se jo online classes ho rahay hain is ki wajah se kayi asatezaa ne apne asbaq ko mukammal karte hue kayi ek mazameen mein nisaab ko taqreeban mukammal bhi karliya hai.