Monday, May 20, 2024
HomeIndiaJudge ka tabadlah qabil muzammat: Congress

Judge ka tabadlah qabil muzammat: Congress

New Delhi: Congress ne Delhi High Court ke ek Judge ke tabadlay ki muzammat karte huve ilzaam aed kiya ke Bhartia Janta Party ( BJP ) dabao ki siyasat kar rahi hai. Congress ke Media In charge Randeep Surjewala ne yahan Media numaindoun se kaha ke BJP leaders ke khilaaf mamlaat ki samaat kar rahay Judge ke achanak tabadlay se adliya ke khilaaf BJP ki dabao aur badlay ki siyasat ka parda faash huva hai.

Unhoun ne kaha ke Delhi High Court ke Justice Murlidhar aur Talwant Singh ne fasaad bhadkanay mein kuch BJP leaders ke kirdaar ki shanakht kar ke un ke khilaaf sakht ahkamaat jari kiye aur Police ko qanoon ke tehat fori tor par karwai karne ka hukum diya tha. Unhoun ne kaha ke hukumat jari kiye jaane ke chand ghantoun mein hi wizarat qanoon aur insaaf ne un ka fori tabadlah Punjab aur Haryana Court kardiya. Congress Leader ne ilzaam aed karte huve kaha ke agar Judge hukoomat ki Policies par ayeen ke mutabiq rokk lagatay hain to Modi hukoomat badlay ke jazbay se kaam karti hai

Yaad rahay ke markazi hukoomat ne Delhi High Court ke Justice S Muralidhar sameit 3 Judges ke tabadlay ka aalamia jari kardiya hai. Wezat e qanoon o insaaf ki janib se is silsilay mein aalamia jari kiya gaya hai. Aalmaia ke mutabiq sadar jamhooria Ramnath Kovind ne ayeen ke Article 222 ke tehat diye gaye ikhtiyarat ka istemaal karte huve Hindustan ke Chief Justice Sharad Arvind Bobde ke mashwara par Justice Muralidhar ko Punjab Haryana High Court tabadlay ko manzoori di hai.

Supreme Court ne Justice Muralidhar sameit 3 Judges ke tabadlay ki sifarish 12 Feb ko hukoomat ko bhaije thi. Justice Muralidhar wahi Judge hain jinhoun ne Delhi tashadud par guzashtah roz huvi samaat ke douran ishtial angaiz taqreer karne walay leaders ke khilaaf FIR darj na kiye jaaney ke silsilay mein markazi hukoomat aur Police ko aade hathoun liya tha. Markazi hukoomat ne Bombay High Court ke Judge Ranjit More ka tabadlah Meghalaya high court ke Judge ke tor par aur Karnataka High Court ke Judge Justice RV Malimath ka tabadlah Uttarakhand ke Judge ke tor par kiya hai. –YTN STAFF