Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderJordan ne Israel se apni zameen wapas leli

Jordan ne Israel se apni zameen wapas leli

Amman: Jordan ne Israel se kiraye par di gayi araazi wapas lene ka elaan kiya hai.Jordan ke Shah Abdullah Alsani ney kaha ke Al Baqoura aur Al Ghumar mein Israel ke sath muahiday ki meyaad poori hogayi. ab un dono ilaqoun par Jordan ne apna qabu dobarah qaim karliya hai. Alweaam ke mutabiq Jordani hukkaam ney Israeli kashtkaron ko Al Baqoura aur Al Ghumar mein dakhil honay se rok diya. Israeli un dono ilaqon ko Niharyemm ka naam diye hue hain.

Jordan ney 25 baras qabal aman muahiday ke tehat yeh dono ilaqay Israel ko kiraye par diye they jahan Israeli kashtkaar zaraat kar rahay the.

Shah Abdallah Alsani ne Jordan parliment ke naye session se khitaab karte hue kaha ke aman muahiday ke tehat Al Baqoura aur Al Ghumar document par amal aaj se khatam hogaya. Jordan ke chipay chipay par mulki baladasti poori tarhan se qaim hogayi.Jordan farman rawa ne yaqeen dilaya ke masla Palestine se mutaliq Jordan apna qaumi muaqqaf barqarar rakhega. 4 June 1967 ki sarhadoun mein khud mukhtaar Palestine riyasat ke qiyam aur mashriqi Al Qads ko iska dar-ul-hukoomat banwane se mutaliq Jordan ki himayat ghair mutazalzal hai.

Jordan, Palasteeni ilaqoun mein islami aur isaayi maqamat ki hifazat karta raha hai aur karta raheyga. is par kisi bhi qisam ki saudey baazi nahi hosakti. Shah Abdulah Alsani ne mazeed kaha ke Jordan ne mushkil tareen halaat may jurrat mandana islahat nafiz ke. Jamhoriat ke rastay par gamzan hai is se peechay hatane ka koi iradah nahi. yaad rahay ke Jordan ne 26 October 1994 ku Israel ke sath aman muahiday ke document par dastakhat kiye they unke banujab Israel ko Al Ghumar aur  Baqoura mein 25 baras tak apne tasarruf may rakhnay ka ikhtiyar hasil hogaya tha.

Document  may yeh baat bhi kahi gayi thi ke agar Jordan hukoomat ne Israel ko 25 sala moahida khatam honay se ek baras qabal moahida jari na

rakhnay ki ittela na di to aisi sorat may muahiday may towsee khud bakhud hojayegi. Shah Abdullah Alsani ne 25 sala moahida khatam honay se ek saal qabal Israeli hukoomat ko aagah kardiya tha ke Urdan dareaye Urdan aur dareaye yarmok ke sangam par waqay Al Baqoura aur aqabah ki waadi Arbah mein waqay Al ghumar wapas lene ka faisla kar chuka hai.

 -YTN STAFF