Monday, July 7, 2025
HomeSliderJobs aur Education ke liye naya Telangana Zonal System

Jobs aur Education ke liye naya Telangana Zonal System

Qadeem Presidential Order ki jagah androon do yaum naya Presidential Order. Ghair munqasim Andhra Pradesh mein qadeem Presidential Order 43 baras tak laagu raha.

Telangana Zonal System

 

Hyderabad. Akhirkaar sarkari mulazimaton mein taqrrurat aur taleem mein 95 feesad tahaffuzaat muqami umeedwaron ke liye aur 5 feesad khulay zumra mein rakhney Riyasati Hukumat ki tajweez bahut jald haqeeqat mein tabdeel honay wali hai. Ghair munqasim Andhra Pradesh mein 43 baras tak laagu rehne walay qadeem Presidential Order ki jagah naya Presidential Order androon do yaum le le ga. Chief Minister  Telangana Mr. K. Chandarshekar Rao, Wazeer e Azam Mr.  Narendra Modi ko zonal system ki ifadiyat ke baaray mein qaayel krwane mein kamyaab hogaye jis par tamam sathon par mubahis ke baad nazar e saani ki gayi hai. Naya zonal system, Sadar Jamhooria Hind ki manzoori ke baad laagu hojaye ga. Iss se sarkari Jobs aur sarkari mulazmeen ke tabadlon mein shfafit ko yaqni banaya jasakay ga. Alahda Telangana riyasat ki tehreek mein muqami logon ko Jobs ki farahmi aik kalidi mauzou tha. Naye zonal system ka maqsad ghair munqasim riyasat mein zair e tameel nizaam ki tamam khamion ko daur karna hai. Telangana mein azlaa ki tadaad ko 11 se badha kar 31 karte hue revenue admnstrishn ki tanzeem jadeed ke baad is ki zaroorat mehsoos ki gayi. mujawaza naye zonal system ko Sadar e Jamhooria Hind ki manzoori ke liye markaz ko rawana karne se qabl Cabinet ne manzoori di thi. is saaray amal ki shakhsi nigrani Chief Minister ne khud ki thi aur Wazeer e Azam Mr. Narendra Modi se mulaqaat ke mauqa par unhen muqami logon ko 95 feesad tahaffuzaat ki farahmi ki zaroorat ke baaray mein samjha ya tha. Naye zonal system ke mutabiq Telangana mein 31 naye azlaa par mushtamil 7 Zones aur 2 Multi Zones waza kiye gay hain.