Sunday, April 20, 2025
HomeIndiajo Iqtidaar mein hain wahi asli Tukde Tukde Gang hain : Chidambaram

jo Iqtidaar mein hain wahi asli Tukde Tukde Gang hain : Chidambaram

New Delhi: Congress ne jumaraat ke roz markaz mein BJP ki zair qayadat NDA hukoomat ko moorad ilzaam tehraya, Hindustan ke democracy Index mein 10 maqam phisal jaane ke ek din baad, Kaha ke jamhoriat ko khatam kar diya gaya hai aur jo loog ikqtidaar mein hain wahi asli Tukde Tukde Gang hai“.

Sabiq wazeer khazana aur congress ke senior rehnuma P. Chidambaram Twit karte hue kaha ”Hindustan jamhoori asharih ( Democracy Index ) mein 10 maqam se peechay ho gaya hai. koe bhi shakhs, Jis ne pichlle 2 saloun ke waqeat ka qareeb se mushahida kiya hai wo jaanta hai ke jamhoriat ka khtama ho chuka hai aur jamhoori idaroun ko kamzor kar diya gaya hai, Jo iqtidaar mein hain woi asli Tukde Tukde gang hin“.

Ne BJP ko nishana banatay hue kaha ”Hindustan jis simt ja raha hai is se duniya ghabra gayi hai. Ek aur Twit mein unhoun ne kaha ke har muhib watan hindustani ko bhi ghabraana chahiye“.

Chidambaram ka ye bayan Democracy Index 2019 mein Hindustan 10 degree kar 51 we number par agaya, Jis ke baad samnay aaya hai. BJP Congress aur deegar ko nishana bananay ke liye Tukde Tukde gang refrences istemaal karti rahi hai. –YTN STAFF