Friday, May 10, 2024
HomeIndiaJo dhaan aur gyahoon mein barq nahi kar saktay woh kisanon ka...

Jo dhaan aur gyahoon mein barq nahi kar saktay woh kisanon ka bhala kiya karenge : Jogendar

Phagwada: Hindustan ke mojooda soorat-e-haal mein yeh bhi apni jagah Musalmah haqeeqat hai ke markaz ke ziyada tar wazra ko zaraat ki samajh hi nahi hai. Darin asna Punjab ke sabiq wazeer aur Jogendar Singh maan ne kaha ke wazeer-e-azam Narendra Modi aur markaz ke ziyada tar vazra ko zaraat ki samajh nahi hai aur is liye kisanon aur markaz ke mabain ta-attul barqarar hai.

Yahan jari bayan mein Punjab agro industries coopration ke ward rukan maan ne kaha ke modi hukoomat ke 60 feesad se ziyada zarat ko iska talluq kisaan baradri se nahi hai aur inhen zaraat ya isse mutaliqa sar garmion ka koi tajurbah nahi hai. Jogendar singh maan ne kaha ke un mein se ziyada tar dhaan aur gyahoon ki fasal mein farq nahin karsakte is liye un se kisanon ki bhalai ki umeed nahi ki jani chahiye.

Jogendar maan ne kaha ke markazi wazeer kisanon ki haalat nahi jantay lehaza woh samajh nahi parahay hain ke kisaan zarayi qawaneen ke mukhalif kyun hain yeh hi wajah hai ke kisanon aur markazi hukoomat ka tassadum barqarar hai. unhon ne kaha ke modi hukoomat be hiss hai lehaza koi hal nikalne ka imkaan bhi kam hai.

Maan singh ne daawa kiya ke Punjab ke cheif minister Haryana aur markazi hukoomat ki aankh mein aankh mila kar baat kar rahay hain aur woh kisanon ke sath khadey hain taakay kisanon ke mafadaat mehfooz rahen.