Monday, May 20, 2024
HomeIndiaJo apni biwi ka khayaal nahi rakh sakta to wo hinudstaniyoun ka...

Jo apni biwi ka khayaal nahi rakh sakta to wo hinudstaniyoun ka khayal kiya rakhega?

Kolkata :  Maghribi Bangal ki chief minister Mamata Banerjee ney Wazeer-e-Azam Narendra Modi  ki tanqeed ka jawab dete hue kaha hai ke woh Narendra Modi  ko Wazeer-e-Azam nahi manti aur woh unke sath ek stage par nazar bhi nahi aana chahtein .

Vishnupur mein intikhabi jalsay se khitaab karte hue Mamata Banerjee ney kaha ke mein inhen mulk ka Wazeer e Azam nahi manti hon is liye ijlaas mein nahi baithi. mein unke sath ek stage par nahi dekhna chahti hon. main aglay Wazeer e Azam se baat karoongi. hum toofan se honay walay nuqsaan se nimat sakte hain. hamein intikhabaat se pehlay markaz ki madad ki zaroorat nahi hai .

Mamata Banerjee yahin khamosh nahi huien balkay unhon ney Modi  ke jawab mein kaha ke agar mein tool collector hon to aap kiya hain. sir se paiir tak aap logon ke khoon se lut put hue hain. jab unse poocha gaya ke unki ( Wazeer e Azam ki ) ahliya kiya  karti hain aur woh kahan rehti hain to unhon ney ( Wazeer e Azam ) kaha ke woh nahi jantay. jo apni ahliya ka khayaal nahi rakh sakta to woh Hinudstaniyoun  ka khayal kiya  rakhega?

Ek deegar jalsay se khitaab karte hue Mamata Banerjee ney kaha ke Wazeer e Azam ney inhen toofan se mutasirah ilaaqon ke talluq se baat karne ke liye talabb kiya tha aur unhon ney wahan talabb kiya  tha jahan woh ek intikhabi jalsa karne ke liye Odissa se wapsi par utre they. is silsilay mein Mamata Banerjee ney kaha ke kiya  hum un ke nokar hain ke woh jahan bhi bulayen ge hamein wahan jana parre ga? ab woh ilzaam lagayen ge ke mein ney jawab nahi diya un ke sath taawun nahi kiya  .

darasal Wazeer e Azam Narendra Modi  ney maghribi bangal mein ek intikhabi jalsa se khitaab karte hue kaha tha ke mein jab Odissa mein fani toofan se honay walay nuqsaan ka jaiza lekar aaya tha to mein ney is talluq se baat karne ke liye Mamata Banerjee ko bhi phone kiya  tha lekin Didi mein to bohat ghuroor hai. unhon ney mujh se baat nahi ki. mein ney unke phone ka intezaar kiya  lekin unhon ney phone nahi kiya. unhon ney mazeed kaha tha ke speed breaker didi ko siyasat mein ziyada dilchaspi hai. mein riyasat ke ohdedaron se toofan ke talluq se baat karna chahta tha lekin reyasti hukoomat ney aisa nahi honay diya .

Darasal Wazeer e Azam ko andaza hogaya hai ke lok sabha intikhabaat mein unko hukoomat bananay ke liye matlooba nishistein nahi mil rahi hain is liye woh nataij se pehlay hi mazeed ittihadi jamaten talaash kar rahay hain. isi kari mein woh toofan ke jaiza ke naam par Odissa ke chief minister Naveen patnaik se mulaqaat ki aur Mamta se milna chahtay they lekin Mamta ney unse milnay se inkaar kar diya . – YTN STAFF