Monday, May 20, 2024
HomeHyderabadJNU tashadud ke khilaaf Hyderabad ki 3 universition mein ehtajaji muzahirey

JNU tashadud ke khilaaf Hyderabad ki 3 universition mein ehtajaji muzahirey

Hyderabad: Delhi ki Jawaharlal Nehru university ke talba par naqaab posh hujhoom ke hamlay ke khilaaf peer ko Hyderabad ki 3 Universities ke Campus mein ehtajaji muzahiray hue. Hyderabad Central university ( HCU ), Maulana Azad national urdu university aur Osmania university ke talba ne JNU tashadud ki muzammat karte hue ehtijaj kiya.

Baen baazu ke talba groupon aur  Akhil Bharatiya Vidyarthi Parishad  ( ABVP ) ke muzahiroun ke nateejay mein Osmania university Campus mein halki si kasheedgi phail gayi, Aur ek dosray par JNU ke tashadud ka ilzaam aed kiya gaya. Peoples Democratic Students Union ( PDSU ) aur Students federation of India ( SFI ) se wabsta talba ne Osmania university Campus mein waqay college of Arts ke samnay ehtajaji muzahira kiya, Aur JNU mein honay walay hamloun ki muzammat ki aur mujrimoun ke khilaaf karwai ka mutalba kiya.

Muzahireen ne JNU ke talba aur asateza par hamloun ka ilzaam aed karte hue ABVP ke khilaaf naaray baazi ki. Unhoun ne ABVP ka patla bhi nazar aatish kiya. Baad azan, ABVP ke kuch arkaan ne ehtijaj bhi kiya, Baen baazu ki jamaatoun ne JNU hamlay ku phele se hi tay shuda tashadud kaha tha.

ABVP ke ek muzahireen ka kehna tha, ye hamlay baen baazu ki jamaatoun ke ghondoun ne kiye they aur wo hamein badnaam karne ki koshish kar rahay they“. ABVP ke muzahireen ne ABVP ka parcham thaamay ehtijaj kiya aur baen baazu groupoun ka patla jalaya.

Maulana Azad national university ( MANUU ) ke talba aur Faculty  membraan ne bhi JNU talba aur asateza par hamloun ki muzammat karte hue ek ehtajaji March nikala aur mulzimaan ke khilaaf karwai ka mutalba kiya. University ke ek ohdedar ne bataya ke ”Faculty membraan bhi ehtajaji March mein shaamil hue“

Wahein, Hyderabad Central university (HCU ) mein itwaar ki der raat ehtijaj shuru huva. Talba ne JNU Campus mein shar pasandoun ke hamlay ke khilaaf naaray lagatay hue Campus mein March kiya. Unhoun ne mujrimoun ki fori giraftari ka mutalba kiya. Muzahireen ne un hamloun ke liye ABVP aur RSS ko moorad ilzaam tehraya aur Delhi police ko nishana banaya. Ek talab e ilm ne bataya” Police ahelkaar talba par hamla karne ke liye Jamia Millia Islamia mein ghos aeye aur JNU mein wo be bas talba aur asatezh par hamloun khamosh tamashaayi banay rahay.

SFI ne peer ki shaam mazeed ehtijaj ka mutalba kiya hai. SFI ke poster mein likha hai ”Bhagva dehshat gardi ke khilaaf rawish mein izafah. JNU hamloun ki muzammat karte hue, Talba ke ek group ne itwaar ki der raat Hyderabad ke Tank Bund par waqay Ambedkar ke mujasmay par mom batii roshan karkay ehtijaj kiya. –YTN STAFF