Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaJNU mein tashadud, Mutatdad tulba o Asaateza zakhmi, Mukhtalif siyasi rehnumao ka...

JNU mein tashadud, Mutatdad tulba o Asaateza zakhmi, Mukhtalif siyasi rehnumao ka izhaare muzammat

New Delhi: Javaharlal Nehru University ( JNU ) mein itwaar ke roz bhayanak tashadud dekha gaya, Jis mein kayi naqaab posh afraad, Jin mein khawateen bhi shaamil then. unhoun ne university campus ke andar daakhil hokar talba aur usatza ke sath lakri aur lohay ki salakhoun se maar pait ki, Aur kayi talba ko zakhmi kar diya. Agar chay ke din ke waqt honay wali jhadpoun mein zakhmi honay waloun ki tadaad ka abhi taq pata nahi chal saka hai, Shaam ke tassadum ke baad kam az kam 20 afraad ko shadeed zakhmi haalat mein AIMS mein daakhil kiya gaya tha.

Un zakhmioun mein Javaharlal Nehru  university talba union ( JNUSU ) ke 2 ohdedar bhi shaamil they, Jin mein union ki sadar Aishi Ghosh, Aur JNUSU ke general secretary Satish Chandra  bhi zakhmi hue they. Aishi Ghoh ku lohe ki salakh se aankhh par mara gaya tha. Is barey mein unhoun ne kaha ”Naqaab posh afraad ne mujhe be dardi se mara petta, Mujhe nahi maloom ke wo kon they“.

JNUSU ke naib sadar Saket Moon ne RSS se wabsta Akhil Bharatiya Vidyarthi Parishad ( ABVP ) par hamlay ki rahnumai karne ka ilzaam lagaya. ek taalib ilm ne maghmoom andaaz mein bataya mai kamray mein thi aur mein ne shor suna aur mein ne kayi ladkyoun ko atay hue dekha aur mein ne sabhi ko apne kamray band karne ko kaha. Hum dehshat mein they, Jab mein ne ek video shot karne ki koshish kar raha tha to unhoun ne mujhe pathar se mara“.

Doosri taraf, ABVP ne baen baazu se wabsta talba ko is ke kaarkunoun par pehlay hamla karne ka zimma daar tehraya. ABVP ne daawa kiya ke is ke sadaarti umeed waar Manish Jangid  buri terhan zakhmi ho gaye they aur un ke haath mein fracture hogaya tha.

Khufia reporton aur talba ke mutabiq, Semester register ko roknay ke khwaahan talba ke mabain tassadum, Hostel feesoun mein izafay aur un ke mukhalif groupoun ke khilaaf tehreek ke ek hissay ke tor par shuru huva. Pehlay group ke membraan mobayyana tor par jummay ki der raat varsity’s  ke WIFI network mein khalal daalnay mein mulawis they

JNU intizamia ne Campus mein tainaat police ko talabb kiya aur mumkina ehkamaat nafiz kar diye. Itwaar ki raat ko Varsity ke markazi shumali gate se 4 ghundoun ko pakda gaya. Dono groups tashadud ke barey mein shikayat darj kar vane der raat Vasant kunj police station puhanche. Aini shahideen ka kehna hai ke, Agar police ne bar waqt karwai ki hoti to, Is tashadud ko roka ja sakta tha. Special commissioner police,  R.S. Krishnaiah ne bataya ke police, Tassadum ke baad sirf university intizamia ki darkhawast par Campus mein daakhil hui.

Margazi wazeer e dakhla Amit Shah ne Delhi police commissioner Amulya Patnaik  ko Campus mein sorat e haal par qaboo panay ke liye tamam zurori karwai karne ka hukum diya aur unhoun ne is ki tehqiqaat ka bhi hukum diya. JNU ke is waqea ki siyasi halqoun ne par zor muzammat ki hai. JNU ke 2 sabiq talba, Markazi wazeer Khazana Nirmala Sitharaman  aur wazeer baraye kharja S. Jaishankar ne is tashadud ki muzammat ki.

Congress ki general secretary Priyanka Gandhi Vadra, Jo JNU ke zakhmi talba se milnay ke liye All India Institute of medical sciences poanch gayeen, Baad mein unhoun ne Twit karte hue kaha ”Dunya mein hindustan ki tasweer liberal jamhoori mulk ki hai. Modi Shah ke ghonde universition mein toad phode kar rahay hain aur apne mustaqbil bananay ki tayario mein lagey taalib ilmoon mein khauf peda kiya ja raha hai.

Congress ke sabiq sadar Rahul Gandhi ne bhi JNU waqea par hukoomat ki tanqeed ki, Aur kaha ke ”Naqaab poshoun ki janib se JNU ke talba aur asatezha par hamla, Jismen mutadid zakhmi hue hain, Chonka dainay wala hai. Fashst, Hamaray bahadur talba ki aawaz se khaufzadah hain. JNU mein ye tashadud isi khauf ka akkaas hai.

CPM ke general secretary  Sitaram Yechury, Jo JNUSU ke sabiq rehnuma bhi hen, Ne is tashadud ki muzammat ki hai aur party ki talba tanzeem Students federation of India ne peer ko mulk geer ehtijaj kiya. CPI ( M ) ki rehnuma Brinda Karat bhi zakhmi talba se mulaqaat ke liye AIMS pohnchain. Delhi ke wazeer aala  Arvind Kejriwal  ne bhi kaha ke wo tashadud se heran hain.

Samajwadi party ke sar barah Akhilesh Yadav ne press conference karte hue JNU ke waqea ki muzmmat ki, Unhoun ne kaha BJP muashray ko Polaris karne aur Adam itminan phelanay ke liye tashadud aur Nafrat ka istemaal kar rahi hai. ABVP, BJP ke tofani qaideen ki terhan kaam kar rahi hai. Akhilesh ne kaha ke itwaar ko honay wala JNU ka waqea mansoobah band tareeqay se kiya gaya hai. Unhoun ne is hamlay ki adalti tehqiqaat ka mutalba kiya.

BSP ne hojhoom ki janib se kiye gaye is hamlay ku sharmanaak qarar dete hue is waqeye ki adalti tehqiqaat ka mutalba kiya. BSP ki sarbarah Mayawati ne peer ko hindi mein Twit karte hue kaha ke ”JNU talba aur asateza ke khelaf tashadud sharamnaak aur qabil muzammat hai. Markaz ko usay sanjeedgi se lena chahiye aur adalti tehqiqaat ka hukum dena chahiye.

Congress ki aboori sadar Sonia Gandhi ne bhi JNU ke mazkorh waqea ki adalti tehqiqaat ka mutalba kiya. Unhoun ne kaha’ Poori congress party, Hindustan ke nojawanoun aur talba se izhaar Yakjahti karti hai. Congress sadar ne kaha ke ”‏Pure mulk mein Campus aur Collegeoun mein police ya shar pasandoun ki gud bad roz ka mamool ban chuke hain, Sonia Gandhi ne kaha ke ”JNU waqea ke peechay BJP hukoomat ka haath hai. Isi terhan congress ke senior rehnuma P. Chidambaram, party ke tarjuman Randeep Surjewala ne bhi JNU mein hue is waqea ki sakhti se muzammat ki aur hukoomat ko tanqeed ka nishana banaya.

Wahein Kerala ke wazeer aala Pinarayi Vijayan ( ne peer ko is hamlay ki muzammat karte hue Singh pariwaar se mutalba kiya ke wo universition ko khonrizi se khamosh karanay ke shaytani mansoobay ko khatam kar day.

Jamia ke talba ehtijaj karne ke liye ITO mein Delhi police head quarter puhanche. Jabkay Jodhpur university asateza Association ne muashray ke tamam tabqaat se is ”Khenune faal “ ki muzammat karne ka mutalba kiya. Kalkata mein Aishi Ghosh ke khaufzadah waaliden ne JNU ke Vice chancellor se istifa ka mutalba kiya aur is baat ki tasdeeq ki ke unhoun ne apni beti ko ehtijaj se dastbrdar honay ke liye nahi kaha hai. –YTN STAFF