Monday, May 20, 2024
HomeIndiaJNU mein hue talba par hamlay sharamnaak hain: Kailash Satyarthi

JNU mein hue talba par hamlay sharamnaak hain: Kailash Satyarthi

New Delhi: Noble inaam yafta aur bachoun ke haqooq ke karkun Kailash Satyarthi ne mangal ke roz JNU mein talba par hue wehshiana hamlay ko sharamnaak qarar diya hai. unhoun ne kaha ke ”Naqaab posh ghondoun ke zareya JNU ke talba par hamlay sara sar sharamnaak hain.

Agar hamari betiyan JNU aur Jamia jaisi universition ke ladkiyoun ke hostel mein mehfooz nahi hain, To is se ziyada ruswa karne wali koi baat nahi hai“. Unhoun ne kaha ke hamla aawar jo bhi hain, wo taalib ilm nahi ho satke. Tamam talba tanzeemoun ko tashadud ki mukhalifat karni chahiye.

Wazeh ho ke itwaar ke roz JNU mein wasee pemanay par tashadud huva, Jis mein naqaab posh hamla awaroun ne talba par lathioun aur aahinii salakhoun se hamla karkay kayi talba ko shadeed zakhmi kar diya, Sath hi doosri amlaak ko bhi nuqsaan pohanchaya. Is hamlay mein JNU talba union ki sadar Aishi Ghosh shaded zakhmi huien, Inhen aankhoun mein chout lagi aur zakhmi haalat mein inhen hospital le jaya gaya. Mazkorah tashadud mein kuch usatza bhi zakhmi hogaye.

Kailash Satyarthi, Jin ke ”Bacha Bachaon “Andolan  bachoun ke haqooq ke liye ek markaz ban gaye hain, Ne wazeer aazam Narendra Modi par zor diya ke wo aman ki bahaali ke liye mulk bhar mein tamam talba uninon ke sath baat cheet ka aaghaz karen.

Satyarthi ne kaha ke ”Universities mein badhatay hue tashadud, Inteshaar aur khauf o hiraas ki haalat mein, Mein muaziz wazeer aazam Narendra Modi se darkhwast karta hon ke, Wo mulkbhar mein university talba Uninon ke sath barah e raast aur tameeri baat cheet ka aaghaz karen, Taakay aman bahaal ho. –YTN STAFF