Friday, May 17, 2024
HomeHyderabadJNTU kisi bhi semester ke nisaab ko kam nahi karega

JNTU kisi bhi semester ke nisaab ko kam nahi karega

Hyderabad : EAMCET ke nataij ke elaan ke baad se, dakhlay ke amal, taleemi schedule aur imtehanaat se mutaliq mutadid sawalaat umeedwaron ko pareshan kar rahay hain jo rawan saal IEEE engineering ki taleem shuru karne jarahay hain.

JNTU Hyderabad ke registrar Manzoor Hussain saal awwal ke talba ke liye taleemi Taqweem jari karne se pehlay kaha ke university ke liye nisaab ko kam karna koi mutabadil nahi hai.

Hum ne nisaab ko kam karne ke baray mein tafseeli guftagu ki hai. University ek seekhnay ka platform hai aur hum apne talba ko nisaab ka sirf ek hissa nahi sikha sakte hain. Lehaza hum ne faisla kiya hai ke rawan saal ke nisaab mein kisi bhi sabaq ko kam nahi kya jayega.

Unhon ne mazeed kaha hum ne jo tehqeeq ki hai is se hum samajte hain ke online seekhna class room mein seekhnay se taiz tar hai. aur hum sara nisaab mukammal karna chahainge.

Unhon ne mazeed kaha hum imthehaan ke schedule par samjhota nahi karenge. hum adhay engineer ko farigh nahi kar saktay lehaza har saal ki tarhan is saal bhi mukammal nisaab hoga. hamein tarikhon ka intizam karna padega.

Manzoor Hussain mazeed kaha hai ke nisaab ki takmeel ko yakeeni bananay ke liye, hukkaam chutiyon ka waqt kam karne ka iradah kar rahay hain. agar classes online karwaye jarahay hain to tatilat mein kami se koi farq nahi padna chahiye kyunkay bacha ghar mein hi hoga.

Taham agar hukoomat hamein college kholnay ki hidaayat karti hai to, hamein nisaab mukammal honay ko yakeeni bananay ke liye sardiyoon aur sankrati ki tatilat ko mukhtasir karna paddga.

Hum saal shuru karne mein pehlay hi der kar chukay hain aur hamein zaya shuda waqt ke liye nai tarteeb ki zaroorat hai. nisaab ko mukammal karne ke liye university ko talba ke liye izafi classes ka intizam karna padega. neez yeh bhi yakeeni banana hai ke aglay taleemi saal wabai amraaz ki wajah se mutasir na ho, hamein mausam garma ki tatilat kaatna padega. is baar hamaray paas haftay bhar ki chutti nahi hosakti. University semester ke ekhtataam par practical classon ko agay badhaane ka iradah rakhti hai. unhon ne aagah kiya yeh semester ke tamam talba ke liye laago hai. talba ke liye practical classes semester mukammal honay se ek mah qabal karwaye jayenge

Taham, wabai sorat-e-haal ko dekhte hue, hum ne talba ke liye munasib intizamaa kiye hain. woh ya to practice ke liye apne college jasaktay hain ya apne ghar ke qareeb engineering college jasatke hain, jahan shanakhti card dikhaaye jane ke baad inhen labs tak rasai haasil hojayegi. Hum ne yeh intizam is liye kiya hai ke talba ko classon ke liye ziyada safar karne ki zaroorat nahi hai. jab hum salana imthehaan munaqqid karen to bandobast aisa hi hoga.