Wednesday, May 15, 2024
HomeOthersBusinessJio ke khilaaf 10,000 sarfeen ki online darkhwast

Jio ke khilaaf 10,000 sarfeen ki online darkhwast

New Delhi: Internet ki Usage charge ( IUC ) ke silsilay mein Telecom companiyon ke darmiyan paeda honay walay hungamey mein sarfeen bhi kood padhe hain. unhon ne usay sarfeen par bojh qarar dete hue Telecom regulatory society of India ( TRI ) se usay jald hal karne ka mutalba kiya hai.

Mukesh Ambani ki reliance Jio ne IUC maslay par TRAI ke muaqqaf ka hawala dete hue dosray net work per call karne ke liye 6 paise fee minute ka charge laganay ka elaan kiya.

company ke elaan ke baad Jio ke Sarif apne oopar padhney walay bojh ko dekhte hue company ki ke khilaaf utar aaye hain aur TRAI se mutalba kiya hai ke woh jald az jald is ka hal nikalay.

JIO ke sarfeen ne apna mutalba TRAI tak pohanchanay ke liye online arzi ka rasta ikhtiyar kiya hai. tadm tehreer taqreeban 10 hazaar sarfeen is ki himayat mein aa chuke hain. apni baat mutaliqa idaray tak pohanchanay ke liye online arzi ka chalan muasar dhang se kiya jata hai. Jio ke sarfeen ne apna mutalba TRAI tak pohanchanay ke liye online arzi ka rasta ikhtiyar kiya hai.

Ghor-e-talab hai ke TRAI 2011 se hi IUC ko khatam karne ki waqalat karta raha lekin jab is ka waqt 31 decemeber 2019 ke qareeb aaya to musharti dastaweezat karkay iss band ho chukay chapter ko ek baar phir se khol diya.

Regulatory be-yakheeni ke darmiyan reliance jio ka maanna hai ke woh IUC se sab se ziyada mutasir honay wali company hai. IUC ke free hojane ki wajah se sarfeen ke liye incoming aur out going calling ke liye free hojayega.

Reliance Jio ne kaha hai ke woh free calling ki sahoolat deti rahi hai lekin iske liye usay badi qeemat chukani padtee hai. IUC ka nazam qadeem hochuka hai aur duniya ki ziyada tar Telecom market zero IUC ko ikhtiyar karti hain.

Darasal Airtel aur vodaphone. idea ka kam aamdani walay tabqay ke sarfeen ke liye jo tarrif hai is mein calling ki sharhin Indus TRAI mein sab se ziyada batayi jarahi hain. kuch maamlon mein to yeh daidh rupiye fi minute se bhi ziyada hai. un companiyon ke Sarif badi tadaad mein 2 G net work se marboot hain jo mobile ka istemaal ziyada tar calling ke liye hi karte hain.

Reliance Jio ne kaha hai ke dono companiyon ke 2 G Sarif paisa bachanay ke liye Jio ke sarfeen ko missed call dete hain aur jab Jio Sarif deegar operator ke Sarif ko phone karta hai to Jio ko 6 paise fi minute chukane padte hain. Jio ka daawa hai ke company par teen saal ke andar is mad mein saadhay 13 hazar crore rupaye ka bojh padh chuka hai. reliance Jio ne mazeed kaha ke Agar IUC ko TRAI khatam kar day to woh pehlay ki tarhan har qisam ki calling free kar dega. –YTN STAFF