Friday, May 17, 2024
HomeLatest NewsJharkhnd ke nataij ne MIM ka asli chehra be naqaab kardiya hai:...

Jharkhnd ke nataij ne MIM ka asli chehra be naqaab kardiya hai: Mohammad Ali Shabbir

Hyderabad: Telangana riyasat ke sabiq wazeer aur qanoon saaz council ke sabiq quied oppostion Mohammad Ali Shabbir ne kaha hai ke ”Jharkhand Assembly Intekhabat ke nataij ne MIM ka asli chehra aur BJP ke sath qurbat ko poori trah be-naqaab kar diya hai. Shabbir Ali ne mangal ke roz media bayan mein kaha ke MIM ne 16 nashistuon par intikhab lada hai aur wo sirf 1,73,980 vote hi hasil kar saki. Jo riyasat mein paye jaane walay kal votes ka sirf 1.2 feesad hai. unhoun ne kaha ke MIM ne kisi bhi nashist par kamyabi haasil karne ke liye muqaabla nahi kiya, balkay Secolar Votes taqseem karne aur voters ko Polarize karne ke liye muqaabla kiya taakay is se BJP umeed waar ki madad ki ja sakay.

Unhoun nain kaha ke MIM ki mojodgi ne BJP ko 2 sitin jeetne mein madad faraham ki, Jahan is ke vote ka hissa fatah ke farq se ziyaan da hai. Misalon ka hawala dete hue, Unhoun ne kaha ke Mandu Assembly halqa mein, MIM ki mojoodgi ne BJP ke umeed waar Jai Prakash Bhai Patel ko sirf 2,068 Votes se jeetne mein madad ki, Kyunkay MIM umeed waar ne 13,972 vote haasil kiye. Isi terhan Bishrampur seat par, MIM ne sirf 6.14 feesad vote haasil kiye aur BJP ko kaseer jehti muqablay mein 4.52 feesad ke farq se jeetne mein madad mili.

Congress quied ne kaha ke MIM ki mojoodgi ne baqiya 14 nashistoun par intikhabaat ko Polarize karne mein BJP ki madad ki. Unhoun ne kaha ke BJP ne 16 mein se 6 nashistoun par kamyabi haasil ki, Jahan MIM ne apne umeed waar khaday kiye hain. Unhoun ne kaha ”ham Jharkhnd ke un voters ke shukar guzaar hain, Jinhoun ne nah sirf firqa parast BJP ko shikast di balke un ki khufia ittihadi MIM ko bhi mustard kar dya“.

Shabbir Ali ne kaha ke agar MIM intikhabaat ko Polarize na karti to congress,JMM, RJD ki maojudgi nai baqeya 14 nashistain jeet sakta tha. Unhoun ne yaad dilaya ke MIM ne Maharatshra mean isi terhan ki game scheme nafiz ki thi, Jis ki madad se BJP. Shive Sena ko barah e raast 19 nashistain haasil hove. Sabiq wazeer nain kaha ke MIM ka asal chehra masoom raha hai aur usay muslim community ke sath ghaddari karna chode na chahiye.

Shabbir Ali ne aindah baldeati intikhabaat ke liye Telangana mein TRS ke sath khulay ittehaad ke liye MIM ko challenge kiya. Shabbir Ali ne kaha ke ”Logoun ko ye ehsas ho gaya hai ke MIM BJP ki team thi aur wo aindah ke tamam intekhabat mean usay mustard kar denge. –YTN STAFF