Monday, April 21, 2025
HomeIndiaJharkhand mein Muslim tanzeem ne Lynching ke khilaaf qanoon bananay ka mutalba...

Jharkhand mein Muslim tanzeem ne Lynching ke khilaaf qanoon bananay ka mutalba kiya

New Delhi: Mulk mein kabhi gaye kashi aur kabhi Bacha chori karne aur kabhi kuch deegar ilzamaat ke tehat Mob Lynching ke zareya logoun ke sath maar peet karne aur qatal tak kar dainay ke kayi waqeat runuma hochuke hain. ek taaza waqea mein Tabraiz Ansari nami nojawan ka qatal kiya gaya tha, Jis ke baad awam mein kaafi gham o gussa dekha gaya tha, Sath hi is muamlay par siyasat bhi khoob hui thi.

Lehaza, Jharkhand mein naye wazeer aala Hemant Soren ke Iqtidaar sambhalnay ke baad, Ye muslim tanzeem ne sabiqa hukoomat ke daur mein Lynching ke mamlaat ke baad riyasat mein Anti Lynching qanoon ka mutalba kiya hai.

All India majlis mushawarat ke sadar Naveed Hamid ne kaha mai Jharkhand ke wazeer aala Hemant Soren ka shukriya ada karta hon ke unhoun ne Pathalgadi tehreek mein karkun ke khilaaf ghaddari ke muqadmaat tark kar diye. Aur mein wazeer aala se dar khwast karonga ke wo Lynching ke khilaaf qanoon banayen.

It-tila-aat ke mutabiq, Is saal ke shuruaat mein Tabraiz Ansari ke qatal ke baad Jharkhand mein aag lagnay ke kam az kam 22 waqeat samnay aeye. Riyasat ke siyasi halqoun mein Lynching ko leker tanaza raha hai, Kyunkay congress aur is waqt ki oppostion ne sabiqa BJP zeer qayadat reyasti hukoomat par Lynching ke waqeat par apni ankhen band kar lainay ka ilzaam lagaya tha. –YTN STAFF