Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaJharkhand mein, JMM, Congress. RJD ittehaad hukoomat tashkeel dega

Jharkhand mein, JMM, Congress. RJD ittehaad hukoomat tashkeel dega

Ranchi: Jharkhand mein hue Assembly intikhabaat ke votes ki ginti peer ke roz ki gayi. 24 District head quarters mein subah 8 bajay se ginti shuru hoyi thi. Jharkhand Assembly ki 81 nashistoun ke liye 5 marhale mein voting hoyi thi. Nataij ko dekhen to, JMM, Congress RJD ittehaad, Jharkhand Assembly intikhabaat mein wazeh mindit ke liye ja raha hai aur election commission ke haliya ruhjunaat ke mutabiq nai hukoomat tashkeel dainay ke liye tayyar hai.

Sab se ahem davedaroun mein chief Minister Raghubar Das ne Jamsheedpur mashriqi nashist par BJP ke umeed waar Saryu Rai  ko ek hazaar se ziyada votes se peechay kiya. Ab tak ki ginti ke mutabiq, Jharkhand Mukti Morcha ( JMM ), Congress aur Rashtriya Janata Dal  ( RJD ) ne mil kar 81 mein se 45 nashistoun par kamyabi haasil ki hai ya is ki qayadat ki hai.

JMM aur congress ne 3 seats haasil kee aur wo ba tarteeb 26 aur 12 nashistoun par bartari haasil kar rahay hain. RJD ek nashist par agay hai.

Bhartia Janta Party ne 3 seats par kamyabi haasil ki hai aur wo 23 nashistoun par bartari haasil kar rahi hai. All Jharkhand Students Union ( AJSU ) ne ek nashist jeet li hai aur 2 mein bartari haasil hai. Jharkhand Vikas Morcha. Prajatantrik ( JVMP ) 3 seats par agay hai. AJSU sarbarah  Sudesh Mahto ne Silli seat par 20,000 se ziyada vote haasil kiye hain. JVMP ke sar barah baabo laal Babulal Marandi  nashist par 15,000 vote le kar agay they.

Jharkhand ke shehri taraqiyati wazeer CP Singh ne 3,000 votes se Ranchi ki nashist barqarar rakhi. JMM. congress, RJD ke cheif Minister ke umeed waar Hemant Soren ( JMM sarbarah ) sab se agay hain. Media se guftagu mein ye baat wazeh ho ne ke baad ke BJP haar gayi hai, Hemant Soren ne apni jeet riyasat ke logoun ke naam kar di aur itihadiyoun ka bhi un par aetmaad karne par shukriya ada kiya.

Soren ne kaha mai Guruji ( waalid Shibu Soren), Laluji aur Soniaji, Rahulji, Priyankaji aur tamam rehnumao ka shukriya ada karta hon, jinhoun ne mujh par aetmaad kiya“. Unhoun ne ye kehte hue ke ek naya baab khula hai, Unhoun ne kaha ke ye riyasat ke liye sang mein saabit hoga. unhoun ne kaha ke awam se jo waday kiye hain wo poray honge. Unhoun ne kaha ke’  hum itihadiyoun aur shiraakat daaroun ke sath baith kar aindah ke laiha amal tye karenge.

Election Commission ke adaad-o-shumaar ke mutabiq, BJP ne 33.53, JMM. Congress. RJD ittehaad ne 36 feesad vote haasil kiye. Is mein se JMM, Congress aur RJD ko bal tarteeb 19.29 feesad, 13.78 feesad aur 2.82 feesad vote miley. AJSU 8.15 feesad aur AIMIM ne 1.08 feesad votes se badhta banai hai. wazeh ho ke Jharkhand mein intikhabaat 30 November se 20 decemeber ke darmain 5 marahil mein munaqqid hue they. –YTN STAFF