Friday, May 17, 2024
HomeIndiaJharkhand Assembly intikhabaat ke pehlay marhalay mein 63 feesad raye dahi hui

Jharkhand Assembly intikhabaat ke pehlay marhalay mein 63 feesad raye dahi hui

Ranchi: Jharkhand mein haftay ke roz 13 Assembly halqoun mein voting ke pehlay marhale mein taqreeban 63 feesad raye dahi hui. Mao nawazoun ke Boycott ke mutalbe ko mustard karte hue, Raye dahindgaan apne votes ka istemaal karne ke liye subah se hi Polling Booths par kaseer tadaad mein qitaar banaye khaday rahay. Election Commission ke mutabiq, Raye dahi ka tanasub 62.87 feesad raha. Sab se ziyada polling 67.04 feesad Bishnunpur  aur sab se kam Manika seat par 57. 61 Record ki gayi.

Daltanganj  Assembly nashist par bhartia janata party ke kaarkunoun aur congress ke darmain mamooli jharap hui. Congress ke umeed waar ke N. ne polling boots mein daakhil honay se roknay ke baad apna licence yafta revolver huwa mein lehra diya. Election commission ne waqeye se mutaliq report talabb ki hai aur licence mansookh kar diya hai.

Jumla 37,78,963 Voters mein se 19,79,991 mard they aur 17,98,966 khawateen aur 5 teesri sanaf ke they. Is intikhabaat mein 189 umeed waar daud mein hain, Jin mein 15 khawateen shaamil hain. Bhawnathpur mein ziyada se ziyada 28 aur chatra nashist par kam se kam 9 umeed waar they.

Election commission ke mutabiq, Pehlay marhalay mein 4,892 Boots mein se 4,585 dehi ilaaqoun aur 307 shehri ilaaqoun mein waqay they. Pehlay marhalay mein polling boots par web casting ki sahuliyaat faraham ki gayeen the. Voting ke liye Security ke mo-asar anttazamat kiye gay they. helicopters ka istemaal hassas ilaaqoun aur mao azm se mutasira  ilaaqoun mein polling afsaraan ko laane aur le jaane ke liye kiya gaya tha.

Pehlay marhalay mein jin ahem umeedwaroun ki qismat ka faisla hoga, Un mein jharkhnd ke wazeer-e-sahet Ramchandra Chandravanshi, congress ke reyasti sadar Rameshwar Oraon.Aur sabiq wazeer aur BJP ke umeed waar Bhanu Pratap Shahi. shaamil hain.

BJP ke 12 nashistoun par intikhab lad rahi hai aur ek nashist par azad umeed waar ki himayat kar rahi hai. Congress, Jharkhnd mukti morcha ( JMM ) ittehadmai muqaabla karne wali RJD ne batarteeb 4, 6 aur 3 nashistoun par umeed waar khaday kiye hain. –YTN STAFF