Sunday, May 19, 2024
HomeLatest NewsJEE imtehanaat ki tawareekh mein tabdeeli

JEE imtehanaat ki tawareekh mein tabdeeli

Hyderabad: National Testing Agency (NTA) ki janib se Joint entrance examination (JEE) jo kay April mein munaqqid shudni imtehanaat hain is ki tareekh tabdeel ki gayi hai jo ke phelay April 7 taa 20 honey they lekin ab yeh imtehanaat April 7, 9, 10 aur 12 ko munaqqid hon ge.

bi ark mein dakhilay ke liye paper 2 ka imthehaan 7 April ko munaqqid ho ga aur bi planning ka imthehaan bhi isi din munaqqid ho ga. Bachelor of Engineering aur Bachelor of Technology Course mein dakhilay ke liye paper aik ka imthehaan April 8, 9, 10 aur 12 ko munaqqid ho ga. Yeh imtehanaat din ki do shifton mein munaqqid hon ge jaissa ke pehli shift subah 9:30  bejey taa dopehar 12:30 baje taq munaqqid hon ge jabkay doosri shift ke imtehanaat dopehar 2:30 bajey se shaam 5:30 bajey taq munaqqid hon ge.

NTA ki janib se mazkoorah imtehanaat ki tawareekh mein tabdeeli ki asal wajah Election Commission ki janib se Hindustan mein aam intekhabaat ki tareekh ka elaan hai jo ke April 11, 18, 23 aur 29 ke ilawa May 6, 12 aur 19 ko munaqqid hon ge. Joint Enterance Exam (JEE) mein shirkat karne walay umeed waar apne imtehanaat ki asal tareekh ki tafseelaat examination ke Website www.jeemain.nic.in par dek satke hain. Joint Enterance Exam, saal mein do martaba January aur April mein munaqqid hotay hain aur is saal January mein imthehaan likhney walay umeedwaron ki tadaad 9,29,198 record ki gayi jo ke 8 taa 12 January ke douran do shifton mein hindustan aur Beroni Mumalik ke 258 marakaz par munaqqid kiye gaye they.

Rawan baras pheli martaba yeh imthehaan mukammal tor par Computer based munaqqid kiya gaya jis mein tulba ko yeh sahoolat faraham ki gayi thi ke woh aik ya is se zayed imtehanaat mein shirkat karen. ilawa azeen April mein munaqqid shudni imtehanaat mein umeedwaron ki tadaad mein 14 hazaar se zayed ka izafah huwa hai aur majmoi tor par is martaba 9. 54 tulba ney darkhwasten daakhil ki hain. Joint Entrance imtehanaat mein haasil kiye janay walay numberaat ko National Institute of Technology, Indian Institute of Information Technology aur markaz ki taraf se funds faraham kiye janay walay Technical Institute mein dakhilay ke liye bunyadi numberaat tasawwur kiye jatay hain. Is ke ilawa Joint Entrance Exam adwans ke numbaraat ko IITS mein dakhila ke liye qabil e ghor tasawwur kiya jata hai.