Monday, April 29, 2024
HomeSliderJeddah mein 204 saal qadeem imarat baishin house

Jeddah mein 204 saal qadeem imarat baishin house

Jeddah:  Saudi arab ke shehar Jeddah senkdon baras qadeem hai. yahan ke tareekhi maqamat sayaho ki dilchaspi ka baais banay hue hain un mein ek Baishin house bhi hai.

baishin house 204 saal qadeem imarat hai. ye bahera Ahmar ke saahil par waqay pur-sukoon bain ul aqwami shahara ki tareekh ka aaina hai. usay Saudi arab ka sayahati chehra bhi kaha jata hai.

Saudi khabar-rasan idaray SPA ke mutabiq assaar-e-Qadima ke mutawaale aur qadeem imaarton mein dilchaspi rakhnay walay sayah baishin house dekhnay ke liye atay rehtay hain. Baaishin house tareekhi aur saqafati qadro qeemat ka haamil hai. yeh 204 baras purani iqtisadi aur samaji tarz muashrat se waqfiyat ka behtareen zareya hai.

Baaishin house 3 manzila imarat hai. qalmi nuskhon, tareekhi tasweeron, anmol Ahaef , sakoo, daak ticketon aur ek library ko apne andar samoye hue hai. iski rahdaryan 204 saal se kahin ziyada purani tareekh ke nawadir se saji hui hain. yahan Maroof morak aur Adeeb Abdul quddius ansari ka Jeddah ki tareekh par encyclopedia bhi rakha hua hai.

Baaishin house 1237  mein taamer kiya gaya tha. lag bhag 204 baras se qaim hai. iski majlison ki dewaron par quran kareem ki ayaat kunda hain. maaya naz khatat Mohammad taher kardi aur Asad Mohammad ne qurani ayaat nihayat khobsorat khat mein tehreer ki theen. kardi musahaf mecca mukaramah ke khatat manay jatay hain.

baishin house ne apne daur mein Jeddah ki Ilmi aur saqafati tehreek ko malaa maal kya. yahan Adeeb aur Danishwer saal bhar jama hotay, fikar wo adab ke khazanay bikharte .
Baaishin house mein qalmi nuskhay, qadeem dastawizaat, tareekhi, Ilmi aur islami kitabon ke khazanay jama they jinhein baad mein king abdul aziz academy ke hawalay kar diya gaya. Baaishin house ka tarz taamer Jeddah ke Maroof fun taamer ka shahkaar hai. yeh Jeddah ke tareekhi ilaqay ka qadeem tareen ghar hai. is ke roshan daano ke neechay Jeddah ke umdah (choudhary ) ki baithak hua karti thi.