Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsJeddah ki tamam Masajid mein Eid ki namaz ki ijazat, Tayariyaan zoor...

Jeddah ki tamam Masajid mein Eid ki namaz ki ijazat, Tayariyaan zoor o shoor par

Jeddah: Saudi Arab ke sahili shehar Jeddah mein Eid Al-Adha ki tayariyaan zoor o Shoor se shuru kar di gayeen. Amsal shehar ki 915 chhoti badi Masajid mein Eid Al-Adha ki Namaz ka ihtimaam kiya jaye ga. Tafseelaat ke mutabiq Jeddah mein Masajid ke idaray ke Director General Sheikh Majid Sharahili ne kaha hai ke coronavirus ke pesh e nazar amsal Jamia masajid ke ilawa aam masajid mein bhi Eid ki namaz padhi jaye gi. Ye faisla muqami shehrion aur muqeem ghair mulkion ko coronavirus se bachanay ki khatir kiya gaya hai.

Sharahili nay kaha hai ke Eid ki namaz padhanay aur khutba dainay ke liye aima aur khtiboun ka intikhab kar liya gaya. Sharahili ney kaha hai ke Eid Al-Adha ke ijitmaat mein samaji faaslay ki pabandi hogi. Har namazi ke liye zurori hoga ke wo hifazati mask pehnay hue ho. Apne sath jane namaz layein. Masajid mein nah to pani laane ki ijazat hogi aur nah hi talawat ke liye Quran pak laaye ja sakain ge. Corona bohraan ke zamane mein Masajid se Quran pak ke nuskhay ahteyati tadbeer ke tor par hata diye gay hain.

Sharahili ney tavajja dilae ke amsal Eid Al Adha ki namaz Eid gaahoun mein nahi hogi. Ye pabandi coronavirus ko phelnay se roknay ke liye lagai gayi hai. Wizarat Islami umoor ney un tamam Masajid ki fehrist jari kar di hai jahan jahan Eid Al Adha ki namaz padhai jaye gi.