Monday, April 29, 2024
HomeLatest NewsJeddah dhamaka ke Khatiyoun ki giraftari ke liye karwai taiz

Jeddah dhamaka ke Khatiyoun ki giraftari ke liye karwai taiz

Jeddah: Khwajaat Qabrastan mein guzashta subah hue dhamakay ke baad Saudi security hukkaam ne ghair muslimon ke Qabrastan ke atraaf security ka sakht pehra lagadiya hai aur iske alawa Saudi police hamla awar ko talaash kar rahi hai jiske liye karwai taiz tar kardi gayi hai.

Tafseelaat ke mutabiq mutasirah ilaqay ki footage jari karte hue hukkaam ne awam ko yaqeen dilaya hai ke Qabrastan ke atraaf aman wo aman ki sorat-e-haal behtar hai. doosri janib is waqeye ki tafseelaat ke alawa is ke darparda maqasid ke mutaliq hukkaam ke bayan ka intzaar hai.

Muqami media ke mutabiq mecca mukarramah governorate ne apna bayan jari kiya hai aur is mein unhon ne kaha ke Jeddah ke khwajat Qabrastan pur hamla buzdilana harkat hai yeh hamla aisay waqt hua jab Qabrastan mein kayi sifaratkaar aur deegar ahem log mojood thay. alawa azeen mecca mukarramah governorate ke tarjuman ne is zimn mein kaha ke Jeddah ke Qabrastan mein ek taqreeb ke douran jo dhamaka hua woh takhreeb karon ki buzdilana karwai hai aur hum iski tehqiqaat kar rahay hain kyunkay dhamaka ke wast wahan franci sifaratkaar bhi mojood thay.

Tarjuman ne mazeed kaha hai ke hamlay mein Unani consulate ka ohdeadar ke alawa ek Saudi security ohdedar bhi zakhmi hue hain jo is mauqa par mojood thay. media ne kaha hai ke pehli aalmi jung ke khatmay ki yaad mein honay wali taqreeb ke douran yeh dhamaka hua aur dhamaka ke waqt France ke alawa deegar mumalik ke consulate ke hakkaam mojood thay.

Is waqea ke baad francesi wizarat kharja ne ek bayan jari kiya jis mein kaha gaya hai Jeddah shehar mein ek hamlay ke douran kayi afraad zakhmi hue. italy, France , Bartania aur yunan ke sifarathkhano  ki janib se bhi mazamati bayanaat jari kiye gaye hain aur un bayanaat mein Qabrastan mein dhamaka ke waqt mojood tamam afraad ki behtar andaaz mein shandaar madad karne par bahadur saudion ohdedaron se izhaar tashakur kiya gaya hai. aur kaha gaya ke dehshat gardon ke taqub mein woh Saudi hukkaam ke sath hain.

Yaad rahay ke Jeddah mein ghair muslimon ke jis Qabrastan mein dhamaka hua woh 5 saal purana hai. is mein mutadid mulkon ke ghair musilmon afrad ko dafnaya jata hai. is ke alawa Bartania aur Portugal ke fojion ki bhi yahan qabrain mojood hain. baad azan commissionaire Jeddah shehzada Mishaal bin Majid ne Qabrastan dhamakay mein zakhmi honay walon afraad ki ayadat ki aur kaha ke khatiyoun ko jald girftar kiya jayega.