Friday, March 29, 2024
HomeIndiaJauhar university ki barbadi se mulk o quam ka zabardast nuqsan hoga

Jauhar university ki barbadi se mulk o quam ka zabardast nuqsan hoga

Taasub ka shikar mulk mein zere behas Uttar Pradesh Rampur ki Jauhar university ke baare mein mulk ki secular siyasi partiyon ki khamoshi par saqt tanqeed karte huwe all India Muslim majlis ke qaumi general secretary aur Jamia Millia Islamia ke sabiq registerar Habeeb Ahmed ne kaha ke university ke khilaf musalsil manfi propaganda ki tawajjeh se university ke tulaba aur asateza apne musataqbil ke baare mein fikarmand hain.

Unho ne yeh baat ek wafad ke hamrah Jauhar university ka daura karne ke baad ek bayan jaari karte huwe kahi hain. Unho ne kaha ke yeh university aam logon ko aur khusoosan taleemi pasmandigi ke shikar musalmano aur Muslim ladkiyo ko nisbatan kum fees lekar aala taleem muhayya kara rahi hain lekin university ke khilaf musalsil manfi parpoganda ho raha hain aur ab university ka sadar dawaza munhadim karne ki taiyari hain. University ke khilaf is muhim ke bayes university mein daqilon mein bohot girawat aayi hain zaare taleem tulaba aur asateza apne musataqbil ke baare mein fikarmand hain.

Hukoomat ke alawa tamaam siyasi jamaate jo musalmano ki taleemi pasmandigi ka shikwa karti rehti hain. Is mamle mein na jaane kis maslihat ka shikar mein Kyu zordar ehtejaaj karne se katra rahi hain. Unho ne wazahat ki ke hukoomat taleemi idaron ko zameen muhayya karati hain. lehaza agar Jauhar university camps kuch arazi par eteraz hain toh mamla adalat ke bahar tasfiya kara ke tai kiya jaasakta hain. Jauhar university na sirf taleemi khidmat anjaam de rahi hai balke corona wabaa ke ziman mein bhi university ne Bila lehaaz mazhab o millat khabil e satayish kaam kiya hain aur zilaa hukkam ka tawun kar ke covid-19 ke ilaaj ka center university mein qayem kiya aur doctor aur tibbi amle ko university ke rihaayeshi ilaaqe mein qiyam faram kiya lehaza is university ka istehkam mulk o quam ke mafaad mein hain aur iska zawal pazeer hona mulk aur qaum ka nuqsan hain.