Sunday, October 6, 2024
HomeSliderJapan mein corona se mutalliq emergency barkhast

Japan mein corona se mutalliq emergency barkhast

Tokyo: Japan ne pehle se tai shuda mansoobe ke mutabiq Tokyo aur 18 deegar sobon se corona se mutalliqa emergency ko mukammil taur par hata diya gaya hai aur kuch dusre ilaaqon mein neem emergency 4 April ke baad pehli martaba Japan ke 47 sobon mein se kisi mein bhi emergency ya neem emergency nahi hai.

Japani hukoomat samaji aur muaashi sar garmiyon ko dobara shuroo karne aur corona virus ke infection ki agli lehar ko rokne ke liye pabandiyon ko khatam karne ka iraada rakhte hain. Mulk mein emergency ki halat ko ba tadreej utana siyahat ke shobe ko bil khusoos gharelu siyahat ko farogh dene ke ek tareeqe ke taur par dekha ja raha hai. karobar jaise restaurant aur theem park awaam mein mutawaqqeh izaafi ki taiyari kar rahe hai.

Mulk mein nipon air ways tamaam parwazon mein taqreeban 50 hazar nishiston ke liye reservation ki gayi jo ke ek maah ki ausat se dus gunah zyada hai. Daree asnaa Tokyo disni theem parks aur universal studios japan se tawaqqe ki jaati hai ke rozana zyada se zyada siyahon ki tetaad 5 hazar se badh kar 10 hazar tak pohunch jayeigi.

Japan mein kisi emergency ki soorat mein alcohol paish karne wale ya karaoke farahum karne wale idaron se kaha gaya hain ke woh fil waqt apna karobar band rakhe aur gair alcohol bar aur restaurant se darqast ki gayi hai ke woh muqaami waqt ke mutabiq raat 8 baje band kar dein. Japani hukoomat ne restaurant aur khane peene ki ashiya faroqt karne wale idaron ko raat 8 baje tak band karne aur agle ek maah ke liye corona ke khilaf iqdamat aur qawayid par amal karne ki hidayat di gayi hain.

Mulk ke bade khailon ke muqablon ki ijazat de di gayi hai. Jaha stadium ya deegar muqamat par tamashiyon ki zyada se zyada tetaad maujooda 5 hazar se badakar 10 hazar kardi gayi hai…yeh sab rahatein mulk mein corona emergency ke khatime ke paish e nazar di gayi hain…wazeh rahe ke August mein corona virus ke intehai mutadi delna version ke phailne ke saath hi mulk mein corona ke rozana muamla badh kar 25000 ho gaye the..ab is ashiya mulk mein mutasira afraad ki tedaad mein kami dekhi gayi hain.