Saturday, April 20, 2024
HomeSliderJapan mein ab corona ki nai shakal ka inkishaaf

Japan mein ab corona ki nai shakal ka inkishaaf

Tokyo: Corona ki waba se abhi duniya poori tarhan bahar bhi nahi nikal payi hai ke iski nai shaklon ke inkishaaf ne mazeed pareshan kardiya hai jaisa ke Bartania mein ek naye coronavirus ke samnay aanay ke baad ab Japan mein coronavirus ki ek aur nayi tabdeel shuda shakal ki tashkhees hui hai. Tafseelaat ke mutabiq Japan ki wizarat sehat ne kaha hai ke brazil ki riyasat Amazona se anay walay chaar musafiron mein corona virus ki ek aur nai shakal ki tashkhees hui hai.

Japani wizarat-e-khazana ke hukkaam ne kaha hai ke is nai shakal ka mutalea kiya ja raha hai aur is baat ka pata laganay ki koshish jari hai ke mojooda vaccine is ke khilaaf kitni kaar aamad saabit hogi. Unhon ne mazeed kaha hai ke coronavirus ki Japan aanay walay musafiron mein tashkhees honay wali shakal taizi se phelnay walay Bartania aur junoobi Africa ke coronavirus ki qismoun se mukhtalif hai.

Japan ke qaumi idaara braay mutaddi amraaz ke sarbarah ne is zimn mein kaha hai ta haal is baat ki tasdeeq nahi hosaki hai ke brazil se anay walon mein tashkhees ki gayi virus ki ye nayi shakal pehalo ke etebar se virus ki deegar shakloun se ziyada khatarnak hai ya nahi.

Brazil ki wizarat sehat ke mutabiq unhon ne japani hukkaam ka aagah kardiya hai ke 12 mutentior ke sath ek nai shakal ka mushahida kiya gaya hai aur is mein se ek Bartania aur junoobi Africa se mumasilat rakhnay wali mutation bhi hai. Is liye imkaan hai ke yeh bhi taiz philao ki salahiyat rakhta ho.

Brazil se aanay walay charon musafiron ko qarantina mein rakha gaya hai. Un mein se 2 afraad ko saans lainay mein mushkil ka saamna hai jabkay 30 sala khatoon ko sir dard aur galaay mein dard ki shikayat hai jab ke nojawan ladki mein bemari ki koi alamat zahir nahi hui hai. Japan mein corona ke majmoi mareezon ki tadaad 2 laakh 89 hazaar se zayed hochuki hai jabkay 4061 amwaat hochuki hain.