Saturday, May 18, 2024
HomeSliderJapan mein aaya taqatwar tareen Toofan, parwazein, Trains mansookh, hukkaam ne di...

Japan mein aaya taqatwar tareen Toofan, parwazein, Trains mansookh, hukkaam ne di ehtiyat ki hidayat

Japan : Bartanwi nashriyati idare ke mutabiq Japan mein haftay ke roz taaqatwar tareen Toofan  aaya, jisse dar-ul-hakoomat Tokyo sameit mulk bhar mein saelabi sorat-e-haal paeda hui hai, jabkay kayi ilaqon mein saelaab aachuka hai. media reports ke mutabiq is taaqatwar Toofan  se 10 hazaar se zayed ghar bijli se mahroom ho chuke hain, is Toofan mein kisi jani nuqsaan ki tasdeeq nahi hoyi hai.

Is Toofan  ki wajah se Rugby world cup ke match aur formula one race bhi mansookh kar di gayi hai. hukkaam ne khatraat ke paish-e-nazar ilaqon mein ahteyati Hidayat jari kardi hain. aur Toofan  ke baais mutadid parwazein aur trains mansookh kardi gayi hain, dukanein wo factories ko band karaya gaya hai.

Media reports mein kaha gaya hai ke mazkorah Toofan 1958 mein Japan mein ane  walay is Toofan  se bhi ziyada taaqatwar ho sakta hai is daur mein aaye Toofan se 1200 se zayed afraad halaak aur mutadid laa-pata hogaye they. –YTN STAFF