Sunday, May 12, 2024
HomeSliderJapan Coronavirus se bachao ke liye 9.4 million Dollar kharch kere ga

Japan Coronavirus se bachao ke liye 9.4 million Dollar kharch kere ga

Tokyo: Wabai shakal ikhtiyar kar chuke Coronavirus ke khatray se nimatnay ke liye Japan hukoomat takreeban 9.4 Dollars kharch kere gi. Hukoomat ne kaha ke awaami sahet khidmaat ke liye majmoi tor 13.3 Million Dollars mukhtas kiye hain aur ye kharch Reserved Fund mein se kiya jaye ga. Is raqomat ka istemaal virus test aur mumkina Vaccine tayyar karnay ke sath virus ke Infection ki rokk thaam aur ilaaj ke liye kiya jaye ga.

Abay ne yahan sahafioun se kaha hum infection phelnay se roknay ke liye aur mutaserah logoun ke naazuk halaat honay se roknay ke liye har mumkin koshish karen ge. Is ke alawa hukoomat ne jungi bunyadoun par mun par laganay walay mask bananay ke liye companiyoun ko 2 lakh 73 hazaar Dollar ki subsidy dainay aur harm ah takreeban 60 crore mask tayyar karnay ka hadaf diya hai.

Hukoomat ki janib se rawan baras July mein honay wali Olympics kheloun ko madd e nazar rakh kar ye qadam uthaya gaya hai. Japan mai Coronavirus se haal hi ek khatoon ki bhi mout hogayi thi. Wazeh rahai ke China mein Coronavirus ke qehar se ab tak takreeban 1500 afraad ki jaanen talaf ho chuki hain aur takreeban 52 hazaar afraad is virus mein mubtala hain. Coronavirus Japan sameit 25 se zayed mumalik mein phail chuka hai

China mein Coronavirus se 1523 afraad halaak, 66492 mutasir.

China mein Coronavirus se mutasir honay walay logoun ki tadaad badh kar 66492 hogayi hai jabkay is mohlik virus se ab tak 1523 afraad halaak ho chuke hain. China ke National Health Commission ne hafta ko kaha ke 31 soboun se jummay tak milnay wali maloomat ke mutabiq Coronavirus ke 2641 naye mamlaat ki tasdeeq aur 143 afraad ke mout ki ittila mili hai.

Commission ke mutabiq soobah Hubei mein 139, Wuhan mein 2 aur Beijing mai 1 shakhs ki mout huvi hai aur ab Infection ke 2277 naye mamlaat samnay aeye hain. Commission ne kaha ke jummay tak Coronavirus se mutasir logoun ki tadaad badh kar 66492 tak poanch gayi hai aur 1523 logoun ki mout ki tasdeeq huvi hai. Health commission ne kaha hai ke 11053 logoun ki haalat naazuk hai jabkay 8096 logoun ko dawakhana se chhutti day di gayi thi. –YTN STAFF