Sadakain aur galiyaan sun_saan, police ka baaz muqamat par awam se jabirana bartao
Hyderabad: Coronavirus ke khilaaf Hindustan ke iqdamaat ke tehat 22 March ko ek din ki Janata curfew ka elaan kiya gaya aur iske tehat aaj subah se hi dono shehron hyderabad aur secunderabad ke mukhtalif ilaaqon mein is ka asr dekhnay ko mila.
Wazeer-e-azam Narendra modi ki janib se Coronavirus ke khilaaf ek din ki Janata curfew ka elaan kiya gaya tha jabkay riyasat Telangana ke CM KCR ki janib se usay 24 ghantay mein tabdeel kiya gaya aur aaj subah Fajar ke baad se hi is ka asr dono shehron ke mukhtalif maqamat par dekhnay ko mila kyunkay rozana ke auqaat mein jo sadkain masroof tareen hoti thi aaj woh tulu aftaab se sun_saan dikhayi den. dono shehron mein Janata curfew ka asr is qader raha ke shehar ki masroof tareen sadkon par jahan koi fard nahi tha aur subah se hi police ke ohdedar curfew ko kamyaab bananay ke liye mukhtalif maqamat par tainaat they.
Janata curfew ka asr is qader raha ke shehar ki masroof tareen sadkon par jahan koi fard nahi tha aur subah se hi police ke ohdedar curfew ko kamyaab bananay ke liye mukhtalif maqamat par tainaat they.
Naya shehar jo ke itwaar ko subah se hi mukhtalif masrofiyat mein sargaram dikhayi deta hai woh bhi Janata curfew ki wajah se sun_saan raha kyunkay Secunderabad ke ahem maidanon jaisay parade ground, sikh village ground jahan itwaar ki subah se hi muqami afraad ki darjanon team cricket khailnay mein sargaram dikhayi deti hai lekin aaj yeh maidan sun_saan rahay kyunkay yahan police ohdedar muqami afraad ko cricket khailnay se se rokk rahay they, taham sugar ke mareezon ko kuch der walking aur joggin ki khusoosi ijazat di gayi kyunkay shehar mein guzashta ek haftay se Gym bhi band hain jis ke tanazur mein inhen khusoosi riayat di gayi jo 10-15 minute mein apni warzish khatam kar dein. alawa azeen Secunderabad ke mukhtalif mehloun mein subah ke auqaat doodh ki sarbarahi ko yakeeni banaya gaya lekin is ke baad roz maraah ki ashya ki dukanain bhi band kar di gayi. Chand ek maqamat par Fajar ke sath hi muqami chand ladke cricket khailtay dikhayi diye jis mein Eidgah ki mashhoor aur Maroof sufi masjid bhi shaamil hai, jahan tulu aftaab ke sath hi kuch bachay cricket khailtay dikhayi diye.
Darin Isna riyasat Telangana assembly ke rubaroo police commissionaire hyderabad ki ek press conference mein munaqidah hui jis mein wazeh kya gaya ke hyderabad mein Janata curfew intahi kamyaab raha. police commissionaire ke mutabiq subah sirf ek feesad aisay afrad jinhen zurori tor par dawakhana se rujoo hona tha inhen naqal harkat aur safar ki ijazat di gayi doosri janib shehar ki tamam gali kooche aur ahem rastay sun_saan rahay.
Mehloun aur galiyouon mein awam ko gharon tak mehdood rakhnay ke liye police ko kisi qader mushaqqat bhi bardasht karni pari kyunkay mehloun mein log gharon se bahar nikal rahay they jinhein gharon mein rehne ki Hidayat dainay ke liye police ohdedaron ko musalsal galiyouon ke chakkar laganay par rahay they aur baar baar samjhane ke bavjod bhi awam gharon ke samnay jama ho rahay they jis ke khilaaf police ko sakht rawayya ikhtiyar bhi karna pada. Whatsaap aur deegar social media par kayi aik aisay videos tasaveer bhi gasht karti rahi jin mein awam se police ohdedaron ka zalimana bartao dekha ja sakta hai kyunkay police awam ko lathyon se maarny ke alawa gaali galoj ka bhi muzahira kar rahi thi.
Mukhtalif maqamat mein un be sahara afraad ko koi pursan-e-haal nahi tha jabkay sarkon par shab basri karte hain. aisay afraad ki social media par tasaveer shaya karte hue hyderaabadi awam un be sahara afraad ki madad karne ki ek dosray se darkhwast karte rahay. sadkon par apni zindagi guzarnay walay afraad chunkay masroof tareen dinon mein apne khanay peenay ki zaroorat ko poora karte hain lekin chunkay aaj shehar mein band tha to inhen apni bunyadi zaroorat ki takmeel mein bhi mushkil hogayi thi. –YTN STAF