Sunday, May 11, 2025
HomeIndiaJammu Wo Kashmir Se Mutaliq Sadarti Order Ke Khilaaf Kashmiri Wakeel Nay...

Jammu Wo Kashmir Se Mutaliq Sadarti Order Ke Khilaaf Kashmiri Wakeel Nay Supreme Court Ka Rukh Kiya

New Delhi : Ek Kashmiri wakeel nay jammu wo Kashmir ko khusoosi haesiyat deney walay Article 370 ko kaladam qarar dainay walay sadaarti hukum ko challenge karte hue Supreme Court se rujoo kiya. Wakeel Shakir Shabir nay apni darkhwast mein daawa kiya hai ke Article 367 mein tarmeem karne walay sadaarti order, jiske nateejay mein jammu wo Kashmir ki khusoosi haesiyat ko mansookh kiya tha, reyasti assembly ki manzoori ke baghair is mein tarmeem nahi ki jasakti thi aur yeh aaen ki baala dasti tha.

Darkhwast mein mu-aqqaf ikhtiyar kiya gaya ke Reyasti assembly ki manzoori se logoun ki marzi ki ak-kaasi hoti hai, jo is tarhan ke badey paemanay par tabdeeliyan laane se pehlay zurori thi, jis nay jammu wo Kashmir ki tareekh aur Geography ko badal diya hai.

Shabir nay yeh bhi daawa kiya ke reyasti governor nay apne ikhtiyarat ka istemaal ghair qanooni tor par kiya, kyunkay unhoun nay kabhi bhi wazraa council se mushawarat nahi ki, jis mein is waqt ke riyasat ke muntakhib numainday shaamil they.

Darkhwast mein adalat ko riyasat mein moujooda Lock down ki sorat-e-haal se bhi aagah kiya gaya hai. unhon nay kaha ke logoun ko zabardasti gharoun mein nazar band kar diya gaya hai aur poori riyasat ko ek chowki mein tabdeel kar diya gaya hai. hukoomat ki ghair qanooni aur mann-maani karwai se ek jamhoori qoum ke bunyadi usooloun ko hila kar rakh diya gaya hai.

Abhi tak Supreme Court mein do darkhwasten dair ki gayi hain, jin ko Article 370 ko kaladam qarar dainay aur Article 35 ko be-bunyaad bananay ko challenge kiya gaya hai. –YTN STAFF