Thursday, May 16, 2024
HomeIndiaJammu wo Kashmir mein sayaho ki aamad par lagi pabandi hataiye gayi,...

Jammu wo Kashmir mein sayaho ki aamad par lagi pabandi hataiye gayi, aur 3 rehnumao ko riha kar diya gaya

New Delhi : Jammu wo Kashmir mein sayaho ki naqal wo harkat par pichle 2 mah se jari pabandi ko hata liya gaya hai. Jammu wo Kashmir intezamia ki janib se jari ki gayi ittila mein likha gaya hai ke sayaho ko har tarha ki madad faraham ki jayegi, taham mossola ittila ke mutabiq bohat si jaghon par internet services ka aaghaz nahi hua hai.

Is ke sath hi jammu wo Kashmir intezamia ne jumeraat ke roz 5 august ko riyasat ko khusoosi haesiyat dene walay aaen ke article 370 ko mansookh kiye jaaney ke baad hirasat mein liye gaye teeno rehnumaoun ko raha kar diya hai.

Mutaliqa ohdedaron ne yeh ittila di. unhon ne bataya ke teen rehnuma, yawar Meer , noor Mohammad aur Shoeb lone ko mukhtalif bunyadon par raha kar diya gaya hai.

Yawar Meer Rafiabad se sabiq mein rukan-e-assembly reh chuke hain, jabkay Shoeb lone ne shumali Kashmir se congress ke ticket par intikhab lada tha, jis mein woh haar gaye they. baad mein unhon ne congress chodhdi. inhen peoples conference ke sarbarah sajjad lone ka qareebi samjha jata hai. aur Noor Mohammad national conference ke karkun hain. isse qabal, governor intizamia ne sahet ki wujuhaat ki bina par 21 September ko peoples conference ke Imran ansari aur syed akhwan ko raha kiya tha.

Wazeh ho ke markazi hukoomat ki janib se 5 august ko Article 370 ki mansookh karne, aur riyasat ko do zair-e-intizam ilaqon taqseem karne ke faislay ke baad, siyasi rehnumao, alehadgi pasand rehnumao, kaarkunoun aur wukla sameit hazaar se zayed afraad ko hirasat mein liya gaya tha, jin mein 3 sabiq wazraye aala, Farooq Abdullah, Omar Abdullah aur Mehbooba Mufti bhi shaamil hain. –YTN STAFF