Thursday, May 16, 2024
HomeIndiaJammu wo Kashmir mein peer se shuru hongi postpaid mobile khidmaat

Jammu wo Kashmir mein peer se shuru hongi postpaid mobile khidmaat

Srinagar : Jammu wo Kashmir ke principal secretary Rohit kansal ne ek press conference mein bataya hai ke riyasat mein postpaid mobile phone khidmaat peer se bahal kardi jayengi. iske sath hi naqal wo harkat par lagayi gayi pabandiyan bhi mukammal tor par khatam kardi gayeen hain.

Rohit kansal ne kaha hai ke zair-e-hirasat rehnumao ko bhi riha kiya jaraha hai. yeh baat qabil-e-zikar hai ke 5 August ko markazi hukoomat ne article 370 ko mansookh kiya tha.

Markazi hukoomat ka daawa hai ke is faislay se riyasat ke logoun ki haalat behtar hogi aur sath hi markazi hukoomat ki schemes ka barah-e-raast faida bhi haasil hoga. is faisla ke baad hukoomat ne bohat se iqdamaat kiye. maslan security forces ki badi tadaad mein taenati, mobile phone aur internet khidmaat par pabandi aur reyasti rehnumao ko nazar band kiya gaya.

Hukoomat ka maanna tha ke reyasti rehnumaon  ki bayan baazi sorat-e-haal ko mazeed kharab karegi. aur dehshat gard internet ka ghalat istemaal kar sakte hain. is ke sath hi riyasat bhar ke schoolon aur colleges bhi band kar diye gaye they. magar ab yeh khabar aayi hai ke markazi hukoomat peer se postpaid mobile phone khidmaat ko phir se bahaal karegi. –YTN STAFF