Wednesday, May 8, 2024
HomeLatest NewsJammu wo kashmir mein 70 baras baad jamhooriat ki jeet: Shahnawaz Hussain

Jammu wo kashmir mein 70 baras baad jamhooriat ki jeet: Shahnawaz Hussain

Srinagar: BJP ke tarjuman Syed Shahnawaz Hussain ne kaha hai ke Jammu wo Kashmir mein munaqidah DDC intikhabaat ko Hindustan ki tareekh mein sunahre lafzon se likha jayega kyunkay jammu wo kashmir ke intikhabaat ki tareekh mein pehli martaba aisa hua ke intikhabaat ke douran kisi bhi ilaqay mein koi nakhushgawaar waqea paish nahi aaya. Unhon ne yahan ek hotel mein munaqidah press conference se khitaab karte hue un khayalat ka izhaar kiya hai. Shahnawaz Hussain party ki taraf se Kashmir mein election incharge thay aur unhon ne yahan kayi intikhabi rilyon mein shirkat ki.

Unhon ne mazeed kaha jammu o Kashmir mein haftay ke roz ekhtataam Pazeer DDC intikhabaat ko mulk ki intikhabi tareekh mein sunahre alfaaz mein likha jayega pehli martaba aisa dekha gaya ke polling ke douran kisi bhi ilaqay mein ek nakhushgawaar waqea bhi paish nahi aaya aur kisi ne koi shikayat bhi nahi ki hum ne bhi koi shikayat nahi ki. Mein yahan yeh elaan karta hon ke jammu wo kashmir mein 70 baras ke baad jamhoriat ki fatah hui hai.

Is mauqa par tarjuman ne kaha ke jammu wo kashmir mein pehli martaba itni bhaari tadaad mein awam vote daalnay ke liye gharon se bahar niklay hain aur sirf chand ke bar-aks tamam polling booths par raye dahindgaan ki taweel qatarain dekhi gayeen jis se yeh saaf zahir hojata hai ke jammu wo kashmir mein jamhoriat ki jeet hui hai. Aaj ki is press conference ka ineqad ye elaan karne ke liye kya gaya ke ab ki baar BJP apni mojoodgi ka ehsas dilaegi. Unhon ne kaha DDC intikhabaat ke nataij ka intezaar hai, hum kisi ko shikast denge ya na denge lekin mein yeh baat wazeh karna chahta hon ke jammu wo Kashmir mein hum congress ko zaroor shikast denge.

Hussain ne kaha ke jammu wo Kashmir mein teen jamaaton ne DDC intikhabaat mein hissa liya ek peoples alliance baraaye gupkaar aalamia, bakol unke gupkar gang congress aur BJP ne apni koshish ki hai. Hum ne 80 intikhabi halqon par apne umidwar khadhe kiye thay jabkay baqi 200 halqon par azad umeedwaron ki himayat ki. BJP tarjuman ne kaha ke aanjhani Atal bihari vajpayee ka khawab kashmiriat, insaaniyat aur jamhoriat ab sharminda tabeer hua hai aur DDC intikhabaat ne yeh saabit kiya hai ke jamhoriat hi kashmiriat aur insaaniyat ki reedh ki haddi hai.

4G mobile internet service ki bahaali ke baray mein pouchye jane par unhon ne kaha umeed hai ke jammu wo kashmir mein 4 jee mobile internet service ko jald bahaal kya jayega. National conference ke saddar Dr Farooq abdullah ki jaedad ko ED ki taraf se munsalik karne ke baraye mein Shahnawaz ne kaha agencia apna kaam aazadanah tor par kar rahi hain unke sath siyasat jodna munasib nahi hai. Jin par ilzamaat hain woh adalat mein ja kar apna muaqqaf paish kar saktay hain.