Wednesday, May 15, 2024
HomeIndiaJammu wo Kashmir Lt Governors ney halaf liya

Jammu wo Kashmir Lt Governors ney halaf liya

Srinagar : Hindustan ki wahid muslim aksriti riyasat ( J&K ) jumeraat ko jammu vo kashmir tanzeem nou qanoon 2019 ke tehat bazabta tor par 2 hisson mein munqasim hokar union territory of jammu vo kashmir aur union territory of ladakh mein tabdeel hogayi.

Is douran jammu vo kashmir ke garmayi dar-ul-hakoomat srinagar aur ladakh ke Leh mein munaqidah 2 alag alag taqarib mein Girish Chandar Murmu aur Radha Krishna mathur ney bal tarteeb jammu wo Kashmir aur ladakh Nami union territories ke pehlay lieutenant governor ki haesiyat se apne ohday ka halaf uthaya. inhen jammu vo kashmir high court ki khatoon cheif justice justice geeta mittal ney halaf dilaya.

Raj bhavan srinagar ke khubsorat lounge mein munaqqid honay wali taqreeb halaf bardari mein cheif justice justice geeta mittal ney markaz ke zair-e-intizam jammu vo kashmir ke pehlay lieutenant governor girish Chandar murmur ko ohday ka halaf dilaya. qabal azeen ladakh ke leh mein munaqidah ek saada taqreeb mein justice geeta mittal ney markaz ke zair-e-intizam ilaqa ladakh ke pehlay lieutenant governor Radha krishna mathur ko ohday ka halaf dilaya.

Doosri janib wadi Kashmir mein jumeraat ko bhi ghair elania hadhtalon ka silsila jari rehtay hue 88 din bhi maloomat zindagi mutasir rahi. is douran mulk ki wahid muslim aksriti riyasat ( J&K) jumeraat ko jammu wo kashmir tanzeem nou qanoon 2019 ke tehat bazabta tor par 2 hisson mein munqasim hokar union territory of jammu wo Kashmir union territory of ladakh mein tabdeel hogayi.

Yaad rahe ke waadi Kashmir mein 5 august jis din markazi hukoomat ney jammu wo kashmir ko dastoor-e-hind ki dafaa 370 aur dafaa 35 A ke tehat haasil khusoosi ikhtiyarat mansookh kiye aur riyasat ko 2 markazi zair-e-intizam ilaqon mein munqasim karne ka elaan kiya to tab ghair elania hadhtalon ka silsila shuru hua jo hanooz jari hai. ladakh ke muslim aksriti zila kargil mein jumaraat ko teesray din bhi hadhtaal rahi. kargil mein 31 october jab union territory of ladakh ke pehlay lieutenant governor Radha Krishna Mathur ney bodh aksriti leh mein apne ohday ka halaf uthaya, to yom-e-siyah ke tor par manaya gaya.

Kargil mein mukhtalif jamaaton ke mushtarqa platform joint action committee ka ilzaam hai ke ladakh ko union territory ka darja diye janey ke sath hi kargil ke sath na insafi ka silsila shuru hogaya hai, woh na insafiyon ko foran se peshtar khatam karne ka mutalba kar rahay hain. mossola it-tila-aat ke mutabiq waadi ke Yamin visar mein hadhtaal rahi aur tamam bazaar band rahay, tijarti sargarmia moattal rahen aur sadkon par awami naqal vo haml mutasir rahi taham khangi gadiyon ki juzwi naqal vo haml jari rahi. –YTN STAFF