Thursday, May 16, 2024
HomeIndiaJammu wo Kashmir aur Ladakh ke nou muntakhib Lt Governors jumerat ko...

Jammu wo Kashmir aur Ladakh ke nou muntakhib Lt Governors jumerat ko lenge halaf

Srinagar : Jammu wo Kashmir aur Ladakh markazi zair-e-intizam ilaaqoun ke nou muntakhib Lt Governors ki halaf Bar-daari jumaraat ke roz sakht security ke darmiyan hogi. Jammu Kashmir high court ki chief justice Geeta Mittal liya mein Ladakh ke Lt governor ke tor par Radha Krishna Mathur ko halaf delainagi. aur uskay baad jammu wo Kashmir ke Lt governor ke tor par Girish Chandra Murmu ko halaf dilanay ke liye srinagar jayengi.

Zaraye ka kehna hai ke Sarkari dafatir srinagar se Jammu muntaqil honay ke bawujood, Kashmir ke mulk ke deegar hisson ke sath Inzimam ko ujagar karne ke liye ek halaf bardari ki taqreeb ka srinagar mein ihtimaam kiya jaraha hai. Is halaf bardari ki taqreeb mein wazeer-e-aaazm Narendra Modi aur hi wazeer-e-dakhla Amit Shah moujood nahi honge.

31 October ko Modi gujrat mein sardar vallabhai patel ki yom-e-paidaiesh mananay ke liye statue of unity mein honge, jabkay amit Shah Dehli mein run far unity programme ko hari jhandi deikheinge. iske alawa koyi dosray siyasi rehnuma bhi is halaf bardari taqreeb mein shareek nahi honge.

Nou muntakhib Governors mein, Tripura cadre ke 1977 Batch ke IAS officer, Radha Krishna Mathur, 2013 se 2015 tak secretary difaa ke faraiz anjaam denay ke baad November 2018 mein chief information commissionaire ke ohday se subukdosh ho gay they. woh Tripura ke chief secretary bhi reh chuke hain.

Wahein, gujrat cadre ke 1985 batch ke IAS officer 59 sala Girish Chandra Murmu, wazeer-e-aaazm Modi ke qareebi saathi manay jatay hain, jab modi gujrat ke wazeer-e-aala they, to Murmu unke principal secretary rahay they.

Jammu wo Kashmir ke subukdosh governor 73 sala satiya pal malik ko Goa ka governor bana diya gaya hai. chunkay riyasat jammu wo Kashmir ko riyasat ke 2 marzi aer intezam ilaqoun mein tabdeel karne ke baad, IAS, IPS aur jammu wo Kashmir cadre ke deegar markazi khidmat ke officer un 2 naye khitton mein khidmaat anjaam denge. –YTN STAFF