Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaJammu o Kashmir min charshumbe se 2G aur broadband Internet service bahaal

Jammu o Kashmir min charshumbe se 2G aur broadband Internet service bahaal

Srinagar: Jammu o Kashmir hukoomat ne mangal ke roz elaan kiya hai ke charshumbe se Jammu khittay ke 5 azlaa mein 2G mobile raabtey ki bahaal ki gayi, Jabkay Broadband Internet ki sahuliyaat ”Zaroori khidmaat se nimatnay walay tamam idaray “ke sath sath Hospitals, Bankoun aur hotels, Safri idaroun, Waghera mein bahaal ki gayi.

Taham, Principal Secretary, Home, Shaleen Kabra ke jari kar da hukum mein kaha gaya hai ke sarif kisi bhi Social Media site aur Messaging ki khidmaat tak rasai haasil nahi kar saken ge. Kashmir division mein broadband Connection bahaal karne par, Ye hidaayat di gayi ke ”istarah ki sahoolat faraham karne se pehlay, ISP, Un zurori sahetoun ki matlooba firewalls lagaye ki aur white-listing  kere ki “Ju sarkari websites aur zurori khidmaat se nimatnay wali Websites tak poanch ko yakeeni banaye ga.

Hukum naame mein ye bhi kaha gaya hai ke waadi Kashmir mein aam awam, Talba waghera ke liye 844 e-terminals  qaim kiye gaye hain. Is ke ilawa sayaho ke liye 69 khusoosi Counters ke ilawa, Mukhtalif imtebaat ke liye mukhtalif GST Return aur darkhwast forms ko par karne ke liye allag allag terminals  ke ilawa sarkari dafatir aur Hospitals mein bhi internet ki rasai jari rahe ki aur divisional intizamia 400 izafi internet kiosks qaim kiye jayen ge. Kiosks aisay both hotay hain, Jin mein Internet kaam karta hai, Taakay zurori kaam kar saken.

Tamam idaroun aur sarkari dafatir mein broadband khidmaat dobarah shuru ki jayen gi. Jammu khitta, Jammu, Samba, Kathua, Udhampur aur risi ke azlaa mein, E-Banking sameit white sitoun tak rasai ke liye postpaid mobiles par 2G mobile Connection ki ijazat hogi. Order mein kaha gaya hai ke ”mazgura baala rehnuma usool 15 January 2020 se nafiz al amal hon ge aur 07 din ki mohlat tak nafiz al amal rahen ge, Jab tak ke is mein pehli tarmeem nahe ki jaye.

5 August ko Jammu o Kashmir mein internet khidmaat moattal kar di gayeen then, Jab markaz ne aeen ke Article 370 ko mansookh karkay sabiq riyasat ko do markazi zair e intizam ilaaqon, Jammu o Kashmir aur Ladakh mein takseem karne ka elaan kiya tha. Taham, Jammu mein guzashta baras october mein broadband khidmaat ko bahaal kiya gaya tha, Jabkay ladakh mein, Mobile aur broadband khidmaat dono ko bahaal kiya gaya tha. –YTN STAFF