Monday, April 21, 2025
HomeIndiaJammu o Kashmir mein haftay se 2G Internet khidmaat bahaal ki jayen...

Jammu o Kashmir mein haftay se 2G Internet khidmaat bahaal ki jayen gi

New Delhi: Jammu o Kashmir hukumat ke ek baday faislay mein, Haftay ke roz se markazi riyasat ke tamam 20 azlaa mein 2G Internet khidmaat bahaal ki jayen gi. Pichlle 5 August ke baad khittay mein Internet raabtey ki ye sab se badi pishraft hai, 5 August ko Article 370 ko mansookh karne ke baad markazi hukoomat ne Jammu o Kashmir mein Mobile Internet par pabandi aed kardi then.

Haftay ke roz se Jammu o Kashmir ke tama 20 azlaa mein 2G Internet khidmaat bahaal hongi. Tamam Postpaid aur Prepaid sarfeen ko Internet tak ray sai haasil hogi. Aur ye rasai 301 whitelisted Websitoun tak mehdood hogi.

Jummay ke roz jari kardah ek order mein kaha gaya hai ke rasai sirf whitelisted Sides tak hi mehdood hogi, Kisi bhi social media Application tak nahi. Data service, Postpaid aur Prepaid Mobile Connection par dastyab hon gi, Jahan Asnad ki nishandahi ki gayi hai.

Hukoomat ki janib se Internet kiosks  aur E-terminal ke zareya muhayya ki jaaney wali muwasilat ki sahuliyaat, Sayaho, Talba aur taajiroun ke khusoosi intizamaa ke ilawa jari rahen gi. Jammu o Kashmir hukumat ke personal secretary Shaleen Kabra ke jari kardah ek hukum mein kaha gaya hai ke ye hidayat haftay ke roz se nafiz ul amal hongi aur 31 January tak nafiz rahay gi.

Hukum naame mein kaha gaya hai ke Telecom service providers (TSP ) Postpaid Connection ke laago usooloun ke mutabiq, Prepaid Sim holders ki asnad ki tasdeeq ke amal ko jari rakhen ge. Hukoomat ki janib se Internet par pabandioun ko har marhale mein narmi ki ja rahi hai.

 

14 January ko, Hukoomat ne elaan kiya ke waadi Kashmir ke 10 azlaa mein se 2 azlaa. Bandipur aur Kupwara . Aur Jammu khittay ke tamam 10 azlaa mein 153 Whitelisted sides ke liye kam raftaar 2G mobile Internet khidmaat ko bahaal kiya jayega.

Ye iqdaam Supreme Court ki janib se hukoomat se Jammu o Kashmir mein Internet pabandi par nazar sani karne ka hukum dainay ke baad kiya gaya hai. Adalat ne kaha tha Internet, Ayeen mein bayan kardah aazdi izhaar raye ka hissa hai. –YTN STAFF