Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaJammu o Kashmir ke nazar band mazeed 5 siyasat daano ko reha...

Jammu o Kashmir ke nazar band mazeed 5 siyasat daano ko reha kiya gaya

Srinagar: Jammu o Kashmir mein 2 MLA sameit markazi dhaaray mein shaamil 5 mazeed siyasat daano ko nazar band se reha kar diya gaya hai. Un paanchoun, Abdul Jabbar, Bashir Ahmad Mir, Zahoor Ahmad Mir, Yasir Reshi, and Ghulam Nabi ko Srinagar ke MLA  Hostel se reha kiya gaya. Kal 35 markazi dhaaray mein shaamil siyasat daano ko guzashta mah  Dal jheel ke kinare waqay Cenatur  Hotel se MLA Hostel muntaqil kiya gaya tha. Hirasat mein liye gaye 4 rehnumao ko is se qabal reha kiya gaya tha.Hirasat mein liye gaye rehnumao ki tadaad ab 26 hogayi hai.

Un mean 3 sabiq wazraye aala Farooq Abdullah, Omar Abdullah aur Mehbooba Mufti ko Article 370 ki mansookhi ke baad 5 August se hirasat mein liya gaya hai. Farooq Abdullah ko Gupkar  Road par nazar band rakha gaya hai. Omar Abdullah ko Hari Niwas aur Mehbooba Mufti ko Srinagar mein MA road par waqay ek sarkari makaan mein hirasat mein rakha gaya hai.

Wazeh hoke un Senior rehnumao ke ilawa deegar rehnumao ko Jammu o Kashmir ko khusoosi hesiyat dainay walay ayeen ke Article 370 ko mansookh karne ke baad hirasat mein letay hue nazar band rakha gaya hai. Sath hi Jammu o Kashmir mein Internet ki khidmaat bahaal nahi ki gayi hain, Is ke ilawa deegar zurori sahuliyaat ki kami hai, Jabkay hukoomat ye daawa kar rahi hai ke Jammu o Kashmir mein halaat mamool par hain, Magar jaiza len to ab bhi wahan ki sorat e haal mamool par nahi aayi hai, Aur qaideen aur hukoomat ke daaway khokhle hain. –YTN STAFF