Saturday, May 18, 2024
HomeLatest NewsJammu & Kashmir Se Telugu Talba Ko Ba-Hifazat Riyasat Wapas Laya Jayega...

Jammu & Kashmir Se Telugu Talba Ko Ba-Hifazat Riyasat Wapas Laya Jayega : KTR

Hyderabad : TRS  ke karguzar sadar K.T Rama Rao nay aaj kaha ke NIT Srinagar mein zair-e-taleem 130 Telugu talba ko ba-hifazat riyasat wapas laya jayega. khauf wo hiraas mein mubtala talba ko apni ghair mehfooz sorat-e-haal ki Twitter ke zareya sabiq wazeer ko waaqif karwaya aur unhen jammu Kashmir mein kasheedgi ke beech campus khaali karne ki Hidayat ke tanazur mein aagah kiya. aur talba nay Trs ke karguzar sadar se appeal ki ke woh inhen Telangana riyasat wapas bhejen.

Un talba ki appeal ka jawab dete hue KTR  nay inhen riyasat mein un ki bahafazat wapsi ki yaqeen dehani karai hai aur mutaliqa ohdedaron ko Hidayat ki hai ke woh is silsila mein fori iqdamaat karen.

KTR  nay yaqeen dilaya ke talba ko kisi qisam ki takleef nahi honay di jaye gi aur un sab ko ba-hifazat wapas laya jayega. KTR  nay talba se yeh bhi kaha ke woh pareshan na hon, kyunkay Delhi ke Telangana Bhavan mein ohdedar fori madad faraham karenge.

KTR  nay talba ke walidain ko bhi mashwara diya ke woh Delhi mein TRS ke daftar mein sarkari ohdedar Vedantharamgiri se phone number per rabta Karen 011-23382041, 91 99682 99337. –YTN STAFF