Hyderabad. Jamia Nizamia mein Auditorium ke tameeri kaam aakhir kaar takmeel ke marhala mein daakhil ho chukay hain aur ab Waqf Board ke arbaab ko yeh umeed ho chuki hai ke jaria mah ke awakhir tak taameeri kaam mukammal ho jaiyen ge. Yaad rahay ke mehakuma Road And Building ki nigrani mein yeh taamiraat anjaam di jarahi hain, jis ke liye hukoomat Telangana ki grant in aid Waqf Board ke tavassut se jari ki jarahi hai. Sadaarnasheen Telangana State Waqf Board Mr. Mohammad Saleem aur Chief Executive Officer Mr. Shahnawaz Qasim ne aaj Jamia Nizamia pahonch kar Auditorium ke taameeri kaamon ka mushahida kya. Yaad rahay ke do saal qabal Jamia Nizamia mein Auditorium ki taameer ka mansoobah banayagya tha. Is khusos mein MIM ne TRS hukoomat se khwahish ki thi ke Jamia Nizamia mein Auditorium ki taamer sarkari kharch par ki jaye, jis par Chief Minister K. Chandarshekar Rao ne amaadgi zahir ki aur is ziman mein pehlay 10 Crores Rupay ibtida mein jari karne ki manzoori di gayi thi jis ko baad azan badha kar 14.65 Crore rupay kardiya gaya. Chief Minister ke hi haathon March 2015 mein is Auditorium ka sang e bunyaad rakha gaya tha. Aaj daura karne ke baad Mr. Mohammad Saleem ne kaha ke agarchay tameeri kamon mein kuch takheer hui hai magar ab yeh aakhri marhala mein daakhil hochuki hain aur tawaqqa hai ke August ke awakhir tak tameeri kaam mukammil hojaye ga aur bahut jald is ka iftetah Chief Minister K.Chandrashekar Rao ke hathon amal mein aayega. Unhon ne kaha ke yeh apni nauiyat ka aik munfarid Auditorium hoga. Is mauqe par Sheikh ul Jamia Jamia Nizamia Maulana Mufti Khaleel Ahmed ne bhi tawaqqa zahir ki ke Auditorium ki taameer ke kaam is mah ke ekhtataam tak mukammal karliye jayen ge. Unhon ne kaha ke dua hai ke kaam jald se jald mukammal ho jaien ge. Unhon ne kaha ke Sadaarnasheen aur CEO ne aaj daura kya aur woh bhi yaqeen dilarahe hain ke yeh kaam August ke ekhtetaam tak mukammal ho jayenge.