New Delhi: Jamia Millia Islamia mein itwaar ke roz shehriat tarmeemi act ke khilaaf honay walay ehtajaji muzahiroun mein hissa lainay walay 2 afrad ko, Goli lagnay ke baad Safdarjung hospital mein daakhil karaya gaya hai, Hospital ke medical superintendent ne peer ko NDTV ko bataya ke abhi unki shanakht nahi ho saki hai. Delhi police ne shehriat tarmeemi act ki mukhalifat karne walay hajhoom par qaboo panay ke liye golioun ke istemaal se inkaar kiya hai.
Itwaar ko huve tashadud ke baad hospitals mein goli se zakhmi hue logoun ki videos social media par gardish kar rahi the. Lekin Delhi police, Jis par had se ziyada taaqat istemaal karne ka ilzaam aed kiya gaya hai, Asleha istemaal karne ki tardeed ki hai. Delhi police ke taluqaat aama ke afsar MS Randhawa ne peer ko ek press conference mein kaha ”Jamia Millia tashadud mein koi firing nahi hovi, Aur na koi jani nuqsaan huwa“.
Police ne kal March ke aagaaz ke foran baad hi muzahireen ko rokk diya, Lekin mushtael muzahireen ne inhen patharoun se nishana banaya aur aag zani ki. Police ne bheed ko muntashir karne ke liye ansoo gas ke golay bar saaye aur ansoo gas ka istemaal kiya. Baad azan, Police ne university mein rokk lagadi aur taqreeban 100 talba ko hirasat mein le liya.
University ne kaha ke baghair ijazat ghair qanooni tor par daakhil hue aur amlay aur talba par hamla kiya. Social media mein aisay videos manzar aam par aeye hain jin mein betul khala mein jaddo jehed karne ke alamaat nazar arhay hain, Jahan talba be hosh pade dikhayi de rahay hain. University ke is bayan par ke police baghair ijazat ke andar daakhil ho, Police ne kaha ke aman-o-amaan bar-qarar rakhnay ke liye kisi ki ijazat ki zaroorat nahi hai.
Senior Afsar Chinmayee Biswal ne bataya ”ham ne sirf tashadud ke baad sorat-e-haal par qaboo panay ke liye kam kiya“ Unhoun ne, University ke leye out ki taraf ishara karte hue, Kaha ke, Jab hajhoom ko peechay kiya ja raha tha to police ne peecha kiya, Jab wo university mein daakhil hue to wo loog university ke darwazu ke andar bhage aur dobarah pathrao karna shuru kiya.
Mukhalifin ka maanna hai ke, Police BJP se hidayat le rahi thi. Is haqeeqat ki nishandahi karte hue ke Delhi police markazi wazeer-e-dakhla ke matehat hai. Mr Randhawa ne kaha ke crime branch itwaar ko waqeye ki thehqikat keregi. Press conference mein unhoun ne kaha ke ”Crème branch Jamia Millia tashadud ki tehqiqaat kere gi. Mukammal tehqiqaat ki jayegi. –YTN STAFF