Friday, May 17, 2024
HomeOthersPublic InterestJamia Millia islamia mein shuru hua Urdu ka ek saala faaslati course

Jamia Millia islamia mein shuru hua Urdu ka ek saala faaslati course

New Delhi : Jamia Millia islamia ne hindi ya angrezi medium ke zareya urdu zabaan mein ek sala course mein dakhla ki pesh kash ki hai. is course ka maqsad urdu seekhnay ke khawahish mand afraad ke liye ek mauqa faraham karna hai. Faslaati nizam taleem ke is course mein dakhla saal bhar mein kisi bhi waqt liya ja sakta hai, is course mein talba ko apni sahoolat ke mutabiq urdu seekhnay ki sahoolat faraham karna hai.

Is course mein naam darj karvane ke liye hindustaniyoun ke liye 100 rupaye, saarik mumalik ke logon ke liye 20 Amrici dollar aur dosray mumalik ke liye 50 Amrici dollar rakhi gayi hai. Iske alawa is course mein dakhla lainay walon se tution fees nahi li jayegi.

Dakhla form aur prospectus urdu director office center baraye khattati course, center for distance and open learning, jamia milliya islamia nai Dehli 110025 se haasil kiya jasakta hai. iske liye apne mukammal pattay ke sath, 10 rupaye ki daak ticket walay 24 x 12 CM ke lifafay ke sath mazkurah patey par bhejna hoga. yeh dakhla form Jamia millia ki Website se bhi download kiya jasakta hai. –YTN STAFF