Tuesday, May 21, 2024
HomeIndiaJamia Millia Islamia ke talba ko aboori relief se inkaar par wukla...

Jamia Millia Islamia ke talba ko aboori relief se inkaar par wukla ne lagaye sharam, sharam ke naaray

New Delhi: Jamia Millia Islamia ke talba ko Delhi high court ne kisi aboori relief se inkaar ke bad wokla ne sharam sharam ke naaray lagaye. Jab chief Justice  D.N. Patel  aur Justice C. Harishankar par mushtamil division bench aboori relief ku barkhawast karne aur jawab dahindgaan ko notice jari karne ke baad uth rahay they to, Senior advocate Indira Jaising sameit deegar wukla ke ek group ne ”Sharam , Sharam“ ke naaray lagana shuru kiya .

Adalat University mein police ki bar bariat aur tashadud aur jhadpoun se mutaliq darkhwastoun ki samaat kar rahi thi. Samaat ke douran Senior advocate Salman Khurshid ne kaha ke adalat ko aisay iqdamaat karne chahiye jis se pegham puhanche. Unhoun ne kaha ”ham zakhamo ko bhadnay aur agay bhedne ke liye ek tareeqekar dhoond rahay hain. Adalat ko Vice chancellor CCTV footage ko mehfooz rakhnay ke liye kehna chahiye.

Unhoun ne kaha ”mutasrien ke bayan ki bunyaad par FIR kyun darj nahi ki gayi. 1 shakhs ki aankhh zaya ho gayi aur dosra Goli lagnay se zakhmi ho gaya“. Khurshid ne poocha ke kiya karwai se pehlay koyi intibah diya gaya tha, Aur kiya khatoon constable mojood then.?

Adalat ko bataya gaya ke 15 decemeber ku”450 Aasu gas ke shell “ Shehiriyat tarmeemi act ke khilaaf muzahira karne waloun par chudey gay they. Azaadi ke baad talba par usay sab se bura hamla qarar daitay hue wukla ne Solicitor general se amicus curiae ban’nay ki appeal ki. Darkhwast guzaroun ki janib se behas karne walay wukla mein  Sanjay Hegde aur  Jaising. shaamil they.

Darkhwast guzaroun ne bataya ke police ijazat ke baghair Campus aur library mein daakhil hui. Unhoun ne kaha ke’  varsity’s ke chief proctor ne bhi police ke is daaway ki tardeed ki thi ke unhoun ne police ko campus mein daakhil honay ki ijazat di thi. Unhoun ne AIIMS, ke zareya jari kardah medical report ka bhi hawala diya, Jis mean is baat ki tasdeeq ki gayi hai ke ek taalib ilm ko goli lagi hai. Unhoun ne kaha ke talba ke khilaaf FIR darj ki jarahi hai aur inhein mujrimoun ke roop mein pesh kiya ja raha hai. ”Ye bunyadi haqooq ki pamali ka sangeen maamla hai“ .

Hegde ne police ki karwaiyoun par sawal uthaya, Jaisay ke campus mein Masjid aur library mein daakhil hona aur muzahireen par ansoo gas aur golioun ke istemaal ko juwaz banana. Jaising ne kaha ke mulk bhar mein adam tashadud ki jad par qaim kardah CAA ke khilaaf ehtijaj huva. Hum sab aman ki bhaali dekhna chahtay hain, Lekin is ke liye hakkaam ke liye zurori hai ke wo aman ke iqdamaat Karen. –YTN STAFF