Thursday, May 16, 2024
HomeIndiaJamia ke qareeb Firing par Rahul Gandhi ka sawal, Hamla aawar ko...

Jamia ke qareeb Firing par Rahul Gandhi ka sawal, Hamla aawar ko raqam kis ne di

New Delhi: Jamia Millia Islamia ke qareeb muzahireen par Firing ke ek din baad, Congress ke sabiq sadar Rahul Gandhi ne jummay ko shuru honay walay Budget ijlaas se qabal parliament ke bahar sawal uthaya ke ”Jumerat ki sah pehar Jamia ke qareeb 17 sala hamla aawar ko kis ne raqam di.? Usay kis ne ada kiya.?

Wazeh ho ke Jamia Millia Islamia University ke qareeb ek nojawan ne shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf ehtijaj karne waloun par Firing ki thi, Jis mein ek taalib ilm zakhmi hogaya tha, Jisay police ne giraftar kar liya hai. Rahul Gandhi ne is hamla aawar se mutaliq sawal uthaya ke usay kis ne raqam di.

Budget ijlaas ke aaghaz se pehlay, Congress ki aboori sadar Sonia Gandhi ki sarbarahi mein congress ke arkaan parliament ne jummay ke roz parliament ke ihata mein, Shehriat tarmeemi Act ( CAA ) aur NRC o NPR ke khilaaf ehtijaj karne waloun se izhaar yakjahti karte hue muzahira kiya.

Is muzahiray mein party ke sabiq sadar Rahul Gandhi, Senior rehnuma Ahmed Patel, Lok Sabha mein Congress ke rehnuma Adhir Ranjan Chowdhury aur deegar kayi arkaan parliament ne shirkat ki.

Congress arkaan ne BJP ke mutadid rehnumao ke mutanazia bayanaat ke khilaaf naaray baazi ki aur hukoomat par ayeen ke khilaaf kaam karne ka ilzaam aed kiya. Aur kaha ke party CAA aur NRC ki khulay aam mukhalifat kar rahi hai. Is ka ilzaam hai ke hukoomat makeshat ke mahaaz par apni nakamiyoo ko chupaney ke liye un mamlaat ko uchhal rahi hai.

Isi douran Congress rehnuma Priyanka Gandhi vadra ne jummay ke roz Jamia Millia Islamia ke qareeb Firing ke waqeye par BJP ko nishana banatay hue kaha ke is terhan ke waqeat is waqt mumkin hain, Jab wazraa aur qaideen logoun ko goli maarny ke liye ukhsaye. Priyanka ne apne Twit mein ye baat kahi. –YTN STAFF