Cairo: Misar ki sab se badi denee dars gaah Jamia Al-Azhar ne elaan kiya hai ke wo Mahe Sayam ke baqi tamam ayyaam mein taravi aur Tahajjud ki Namaz markazi Masjid Al-Azhar se nashar keregi. Tafseelaat ke mutabiq Al-Azhar ki taraf se jari ek bayan mein kaha gaya hai ke Taraveeh aur Tahajjud ki Namaz barah e raast Jamia ki Masjid se Nashar ki jayegi taham ba jamaat Namaz mein imam aur masjid ke intizami amlay ke alawa aam logoun ko shirkat ki ijazat nahi hogi.
Al-Azhar ne khaas tor par mah muqaddas ke aakhri 10 dinoun ke douran rohani mahol aam karne ke liye Social Media, Facebook, Youtube, Instagram aur Twitter par Al-Azhar ke sarkari safhaat ke zariye Namaz ko barah e raast dukhaengi.
Khayaal rahay ke Jamia Al-Azhar pehlay hi Corona ki wajah se mah Sayam ke douran Masajid mein ba jamaat Namazoun ki adai par pabandi ayad kar chuki hai. Al-Azhar mein Senior Scholar Authority ne ek bayan mein kaha hai ke duniya bhar mein taizi ke sath phelnay walay Coronavirus ki rokk thaam ke liye mehakma sahet ke waza kardah tareeqekar par amal daraamad na guzeer hai. Waba ka mazeed phailoo roknay ke liye jummay ki Namazoun sameit deegar tamam Namazain Masajid mein ba jamaat andaaz mein ada karne se roka gaya hai. Misri hukkaam ne Coronavirus ke phelao roknay ke liye March se Masajid mein jummay ki Namaz aur ba jamaat Namazoun ki adai par pabandi ayed kardi thi. –YTN STAFF