Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderJames Anderson ki nazrain 700 wickets ke husool par

James Anderson ki nazrain 700 wickets ke husool par

Washington: Test cricket mien 600 wickets haasil karne walay England ke Fast Bowler James Anderson ne umeed zahir ki hai ke wo 700 wicket ke club mein shaamil ho saktay hain. 38 sala Anderson se ye qiyaas lagaye jarahay they ke wo is mausam garma mein 600 wickets lainay ke bad Cricket se subukdosh hojaien ge lekin unhoun ne kaha hai ke un ka aisa koi iradah nahi hai aur wo is waqt subuk doshi ke barey mein nahi soch rahay hain. Pakistan ke khilaaf teesra aur aakheri test match Draw honay ke baad Anderson ne kaha kay un ke paas abhi bohat ziyada cricket baqi hai aur wo mustaqbil mein 700 wickets haasil kar saktay hain. Duniya ke behtareen taiz Bowlers mein se ek Anderson ne Southampton test match ke aakhri din apne captain Joe Root ke hathon Slip mein Pakistan ke captain Azhar Ali ko catch out kerwatay hue apne 600 we wicket haasil ki. Anderson ne apne 156 we match mein ye karnaama anjaam diya. Anderson ye karnaama anjaam dainay walay duniya ke pehlay fast bowler aur majmoi tor par chouthay bowler ban gaye hain.

Anderson se qabal ye karnaama Hindostan ke Anil Kumble ( 619 ), Australia ke Shane Warne ( 708 ) aur Sri Lanka ke Muralitharan ( 800 ) ney anjaam diya hai. Anderson ney kaha ke mein ney is barey mein Captain Joe Root se baat ki hai aur unhoun ney kaha hai ke wo mujhe Australia ke khilaaf aglay saal ki Ashes series mein dekhnaa chahain ge. Mujhe team mein shaamil nah honay ki aisi koi wajah nazar nahi aa rahi hai. Mein hamesha ki terhan apni fitness par focus kar raha hon. Unhoun ny kaha ke mein is mausam garma mein jis terhan se karna chahta tha aisi bowling nahi karsaka tha. Lekin is test mein mein ny mehsoos kiya ke mein ab bhi is team mein hissa daal sakta hon. Jab tak mein is terhan mehsoos karta hon, Mein khail jari rakhna chahta hon. Mujhe nahi lagta ke mein ny abhi England ke ek cricketer ki hesiyat se apna aakhri test match jeet liya hai. Kya mein 700 wicket haasil karsaktha hon? kyun nahi?

Anderson aglay saal Ashes ke douran 39 saal ke hojaien ge. Is terhan ki omar mein fast bowler ke liye apni form barqarar rakhna bohat mushkil hota hai. Unhoun ny teesray test match mein 29 we martaba Inning mein paanch ya is se ziyada wickten len. Fast Bowlers mein is muamlay mein sirf Richard Headley un se agay hain. Anderson ny kaha ke un ki wickets ki bhook abhi kam nahi hui hai aur isi wajah se ab bhi khail rahay hain. Unhoun ny kaha ke test Championship abhi jari hai. Abhi hamein test series mein khelna hai aur test match jeetna hai. Mujhe un sab mein dilchaspi hai. Anderson nay May 2003 mein Zimbabwe ke khilaaf Lord Ground mein test career ka aaghaz kiya tha aur 17 saal baad 600 wa wicket ke urooj par pahonch gaye. Anderson nay un 600 wickets mein 89 gharelo test mein 384 wickets 61 bairooni mumalik ke test mein 194 wicket aur ghair janabdaar maqamat par chay test mein 22 wickets haasil kee. Anderson nay apne career mein 11 martaba Australia ke Peter Suddle ko bold kiya jabkay unhoun nay Hindostan ke Sachin Tendulkar, Michael Clarke aur Australia ke David Warner.