Tuesday, May 7, 2024
HomeHyderabadJamat e Islami ke daftar Congress leaders pahonch gaye

Jamat e Islami ke daftar Congress leaders pahonch gaye

Hyderabad. Jamat e Islami ke wafad ki Caretaker Chief Minister Mr. K. Chandarshekar Rao se mulaqaat ke chouthay din hi Congress leaders ka aik wafad captain Uttam Kumar ki qayadat mein Jamat e Islami ke daftar pahonch gaya aur aayindah intikhabaat ke ziman mein Jamaat ki taayid talab ki. Congress Leaders ney taqreeban teen ghanton tak tabadlah khayaal kiya. Jamat e Islami ke ohdedaron ke sath malik ke siyasi halaat aur muslim masail par tafseeli guftagu ki. bataya jata hai ke Jamat e Islami ke leaders ney Congress leaders par yeh wazeh kardiya ke Congress, badhti firqa parasti ke paish e nazar Hindutwa ke taiyen naram gosha ikhtiyar kya aur soft Hindutwa ka muzahirah karne lagi hai. Alawa azeen Shariat mein mudakhlat ki koshisho ko hum bardasht nahi kar saktay. Baad azan akhbaari numaindon se baat cheet karte hue Captain Uttam Kumar ney kaha ke Jamat e Islami aik badi tanzeem hai aur Nusalim par is ka aaccha asar hai. Hum ney jamaat ke leaders se kaha ke Telangana mein aayindah intikhabaat se qabal yeh baat malhooz rakhen ke moodi ki hukoomat tashkeel paney ke baad malik ke halaat kya rukh ikhtiyar kiye hain. malik mein musalmanoon par hamlon mein izafah huwa hai. Agar aayindah intikhabaat mein bhi woh Iqtidaar par aajay gi to Constitution mein hi tarmeem kar dein ge. captain Uttam Kumar ney kaha ke hum ney jamaat ke leaders se kaha ke inhen yeh faisla karna hai ke Telangana Assembly riyasat mein konsi party ko Iqtidaar tafweez karna chahiye chunkay is ke asraat aam intikhabaat par bhi parney walay hain. Ameer Jamat e Islami Hind halqa Telangana & Odhisa janab Hamid Mohammad Khan ney kaha ke ijlaas mein Congress leaders ke sath awam ko darpaish masail aur Muslimske masayil par tabadlah khayaal kiya gaya aur hum ney hamari jamaat katayyar kardah demand of charter paish kiye aur iss ke ahem nukaat par tabadlah khayaal kiya jin mein qaabile zikar Minorities ke liye sub-plan, tahaffuzaat ki farahmi aur taleemi farogh ke sath sath iqtesaadi taraqqi ke iqdamaat shaamil hain. unhon ney bataya ke hum mukhtalif partiyon se tabadlah khayaal ki rudaad aur partiyon ke intikhabi manshoor ko malhooz rakhtay hue apni report markazi aur qayadat ko rawana kar dein ge aur markaz ki Hadayat ki roshni mein hum yahan apna muaqqaf paish karen ge. is mauqa par Mr. Mohammad Ali Shabir aur Abid Rasool Khan bhi maujood thay