Sunday, May 19, 2024
HomeSliderJamal Khashoggi ke qatal ke walee ehad Salman zimmedaar: Aqwama mutahidda

Jamal Khashoggi ke qatal ke walee ehad Salman zimmedaar: Aqwama mutahidda

Riyadh: Jamal Khashoggi ke qatal se mutaliq aqwama mutahidda ki tashkeel kardah team ki janib se jari ki gayi tehqiqati report mein kaha gaya hai ke shawahid se maloom hota hai ke Saudi Arab ke walee ehad Mohammad Bin Salman aur deegar Senior Saudi ohdedar sahafi Jamal Khashoggi ke qatal ke zimmedaar hain. Tafseelaat ke mutabiq is hawalay se arsaal ki gayi 100 safhaat par mabni report par Riyadh ki janib se fori tor par koi jawab nahi diya gaya lekin Saudi Arab ki janib se walee ehad ki shamoliat ke ilzamaat ko mustarid kya jata hai.

Marwaye adalat qatal se mutaliq aqwama mutahidda ki khusoosi reporter aur tehqiqati team ki sarbarah Agnes Callamard ney Mumalik se mutaleba kiya hai ke woh Saudi Arab par ayed ki gayi pabandion mein tosee karte huwe walee ehad aur un ke zaati asason ko bhi shaamil kiya jaye, jab tak woh yeh saabit nahi kardete ke woh is qatal ke zimmedaar nahi. Agnes Callamard ney apni report mein kaha ke Jamal Khashoggi danista, mansoobah bandi ke tehat marwaye adalat qatal ka shikaar huwe hain aalmi insani haqooq ke qanoon ke tehat jis ka zimmedaar Saudi arab hai.

Rawan baras ke aaghaz mein Agnes Callamard ney forensic aur qanooni mahireen par mushtamil team ke hamrah Turkey ka dora kiya tha aur kaha tha ke unhon ney tark hukkaam se shawahid haasil kiye hain. Qabil atemaad shawahid mojood hain jo aala sathi Saudi hukkaam sameit walee ehad ki qatal ki shamoliat se mutaliq mazeed tehqiqaat ka mutaleba karte hain. Insani haqooq ki team ki tehqiqaat se zahir hota hai ke walee ehad ke zimmedaar honay se thos aur qabil aytemaad shawahid mojood hain jo mazeed tehqiqaat ka mutaleba karte hain.
Unhon ney aqwama mutahidda ke secretary general se aalmi tehqiqaat ka mutaleba kya. Al Jazeera ke mutabiq aqwama mutahidda ki insani haqooq council mein maahir Agnes Callamard ki janib se yeh report 26 June ko paish ki jaye gi. khayaal rahay ke insani haqooq council ke 47 rukan Mumalik mein Saudi Arab bhi shaamil hai. Saudi Shahi khandan aur walee ehad Mohammad bin Salman ke iqdamaat ke sakht Naqid samjhay jaaney walay Saudi sahafi Jamal Khashoggi guzishta aik baras se America mein muqeem they.

Taham 2 october 2018 ko is waqt aalmi media ki sheh sherahyon mein rahay jab woh Turkey ke shehar Istanbul mein qaim Saudi Arab ke consul khaney mein daakhil huwe lekin wapas nahi aeye, baad azan un ke hawalay se khadsha zahir kiya gaya ke inhen consul khaney mein hi qatal kar diya gaya hai. Sahafi ki ghumshudgi par Turk hukoomat ney fori rad-e-amal dete huwe Istanbul mein tainaat Saudi safeer ko wizarat kharja mein talab kiya jis ke baad dono Mumalik ke darmiyan taluqaat mein kasheedgi ka khadsha peda huwa. Taham Turk hakaam ney media ko bataya tha ke un ka maanna hai ke Saudi sahafi aur Saudi riyasat par tanqeed karne walay Jamal  khashoggi ko consul khaney ke andar qatal kiya gaya.