Monday, May 20, 2024
HomeIndiaJamaat-e-Islami Hind ne, NRC aur CAB ki mukhalifat ki

Jamaat-e-Islami Hind ne, NRC aur CAB ki mukhalifat ki

New Delhi: Jamaat-e-Islami Hind ( JIH ) ne mulk bhar may shehrioun ke qaumi Register ( NRC ) ke sath sath shehriat tarmeemi Bill ( CAB ) ko nafiz karne ke hukoomat ke mansoobay ki mukhalifat ki hai. JIH ke naib sadar Mohammad Saleem Engineer ne kaha ke ”Jammat ne wazeer-e-dakhla Amit Shah ke is elaan par shadeed tashweesh ka izhaar kiya hai ke pooray mulk may NRC nafiz kiya jaye ga.

Mohammad Saleem ne ghair mulkioun aur ghair qanooni tarikeen watan ki shanaqt ke liye maloom tareeqakar aur qawaneen mojood hain, unhoun ne kaha ke 135 Crore afraad ko mushkil may daalna bulaa juwaz hai. unhoun ne mazeed kaha ke is se Tax dhandgaan par bohat bada boojh pade ga

JIH ne kaha ke Assam may NRC ki mashq nakaam ho gayi thi, kyun kay 20 Lakh darkhwast dahindgaan aakhri fehrist may shaamil nahi they. unhoun ne mazeed kaha ke hukoomat ko andaza nahi tha ke unke sath kya kiya jaye.

Is baat ki nishandahi karte hue ke Assam may 4 Lakh drandazoun ka ye ilzaam ghalat saabit huwa. unhoun ne kaha ke mulkbhar may NRC sirif shehrion khusosan aqlitoun aur pasmandah tabqaat ki takleef ka baais bane gi. Mohammad Saleem Engineer ne CAB ki mukhalfat karte hue kaha ”Jamaat hamaray aeen aur imtiazi sulooq ke jaz baat ke khilaaf mehsoos karti hai ” is may sirf Bangladesh, Pakistan aur Afghanistan se Hindustan ane walay Hindu ko hi shehriat daine ki tajweez hai, na ke dosray mazhabi tabqa ko. –YTN STAFF